Bari pur-sakoon thi ye zindagi, naya dard kis nay jaga diya
Kisi be-nayaz nigaah nay, meri wehshaton ko barha diya
Meray kam-sukhan ka ye hukam tha, k kalaam uss se main kam karoon
Meray hont aise sile k phir, meri chup nay uss ko rula diya
Ussay shair sun’nay ka shoq tha, mujhay arz-e-haal ka zoq tha
Issi zoq-o-shoq main ek din ussay haal-e-dil suna diya
Woh nigaah kaisi nigaah thi, woh guraiz kaisa guraz tha
Mujhe dekh k bhi na dekhna, iss ada nay haal suna diya
Kisi naam se kisi yaad se, meray dil ki bazm saji rahi
**Kabhi ye chiraag jala diya, kabhi woh chiraag jala diya…!! **