bari der ki mehrbaa’n aatay aatay
sawaari nahi thi to humko bulaatay:)
agar aa pohnchtay yahan waqt par tum
DIL apna tumhein bhoon kar hum khilaatay:grumpy:
unhein jab bulaaya to inqaar aaya
wo hum ko bulaatay to hum bhi na jaatay:snooty:
agar hum bhi chaalaak hotay to logo
na is tarha humko wo uLLu banaatay:(
jo maloom hota k nakaam hongay
muhabbat k chakkar mein kyoun sir khapaatay:bummer:
agar mein tumhaari muhabbat mein marta
to tum bhi magar-machh k aansu bahaatay:hoonh:
bhala aur kya kartay hum bun k qaazi
raqeebon waqeebon ko koray lagaatay:D