Barbaad wafa ka afsaana hum !!!

**Niklay thay kahan jaane ke liye,
Pohonchay hain kahan maloom nahi
Ab apne bhatke kadmon ko,
Manzil ka nishaan maloom nahi **

Humne bhi kabhi is gulshan mein,
Ek khwaab-e-bahaara dekha tha
Kub phool jharay, Kub gard urhi,
Kub aayi khizaan maaloom nahi

Dil shola-e-gham se khaak huwa,
Ya aag lagi armaanon mein
Kya cheez jali kyun seene se
Utha hai dhuwaan maloom nahi

Barbaad wafa ka afsaana hum
Kisse kahain aur kaise kahain
Khaamosh hain lub aur duniya ko
Ashkon ki zubaan maloom nahi

Re: Barbaad wafa ka afsaana hum !!!

wah ji wah kia kehna:k:

zabardast arif bhai
thanx for sharing

Re: Barbaad wafa ka afsaana hum !!!

beautiful nice:k::k:

Thanks ** JL Brother, Rani Pakistani and ghazal kisi ke ** :)

Buhat Khoob :k: