BaRay kaa Gosht

Last night I was logged into chat but I was doing some other stuff related to some studying/work/upgrading etc. So, I was not participating in the conversation but occassionally reading through the interesting chat conversation.

From one subject (Rated R subjects included:halo: ) to another, things come to difference between baRaa gosht and choTa gosht.

Now, regardless of what was being discussed there, I came to know that what my understanding of BaRa gosht and ChoTa gosht is, that can be totally different of how other people perceive it. Without mentioning what was being discussed/taught/thought/mentioned in chat, I am going to list down what it is for me:

BaRa gosht = Beef, Buffalow, Camel etc.
ChoTa gosht = Goat, Sheep, Lamb

Then comes what is considered delicacy back home - the white meat, that is Chicken (or the likes here, duck, turkey etc.) and Fish.

What have you understood of BaRa and choTa gosht as? Is your definition different or same as mine?

On a related note, do you guys know the difference between baRaa qasaai and choTa qasaai? (guess I already gave it away)…

What type of gosht do you prefer to have? How many days of the week you are non-vegeterian? What type of dishes are meant for some particular type of gosht? like they say Haleem and Nihaari is of Beef - anything else does not have that touche. hmmm…??

Re: BaRay kaa Gosht

ewww :o

Re: BaRay kaa Gosht

What ewww?

Don't you cook at home? baawarchan khaatoon.

Re: BaRay kaa Gosht

bara - Beef, Buffalow, Camel, Goat, Sheep, Lamb
chota- chicken

fish is itself choti bari :D

and i prefer to eat tofu :D

Re: BaRay kaa Gosht

Zobia:

pardon my desiness, (like desiness is a crime?), but what exactly is tofu?

so then, what is your definition of choTa qasaai?

Re: BaRay kaa Gosht

I do ..but i dont like red meat ..it's Eww eww ...

Re: BaRay kaa Gosht

which means you do not like Haleem or Nihaair? huh huh?

Re: BaRay kaa Gosht

Chicken Haleem is good

Nihaairi i dont like...Yukh !

Re: BaRay kaa Gosht

Chicken haleem does not have that touch:snooty:

Nihaari is the best thing in the world.

I like BaRay kaY paaye. do you?

Re: BaRay kaa Gosht

i dont want THAT touch ..assa he thek hei.

Nihaari ..eww eww ewww ewww 100x ewwww

Baray whatever :snooty::…

Re: BaRay kaa Gosht

so but i am assuming, not liking is one thing, cooking another. Do you cook beef nihaari, nali nihaari etc.?

By the way, ever tried Hunter beef?

Re: BaRay kaa Gosht

NO !

Im not coming back to this thread :grumpy::..

Re: BaRay kaa Gosht

kiouN? : -(

We can talk about choTa gosht.

And also what choTa gosht is not good at, for which baRaa gosht rocks.

Re: BaRay kaa Gosht

bakra gosht is also chota ghost,hai na :konfused:

Re: BaRay kaa Gosht

I think so. I was asking you and others what they know until peshow came in and declared BaRa and choTaa gosht total haraam… she is not cooking Nali Nihaari for us :frowning:

Re: BaRay kaa Gosht

Yeh kia bara chota laga rakha hay, dunnia ka koi gosht bara ya chota nahi hota, bara wohi hay jo acha hay, ... gosht to gosht hay iss main kia bara kia chota, agar gosht bakray main fit howa to uss main gosht ka kia qusoor hay ? hay to wo bhi laal ... kia chotay gosht main dil nai hota ? kia uss dil main jazbaat nai hotay ?

Kabhi socha hay kay kitna dukh hota hoga uss chotay gosht ko jab usi kay samnay ussay chota kaha jaata hay... gosht main kabhi tafreeq nahi karni chahyay... agar yehi baat hay to Chupkali ka gosht kia hay ? Micro-chota gosht? ...

Khudaara iss chotay baray kay chakkaron say bahar nikal aian... air Bakri and Bail ko qareeb laanay ki koshish karain aur sath hi Bakray and cow ko bhi... yeh sab bhi aakhir insaan hi hain, inn main bhi insaan chupa hay... jaisay hamaray ander aik Bakra and Cow chupi howi hay (in some cases bhains bhi )

Re: BaRay kaa Gosht

ATA nay Farmaaya:

**Yeh kia bara chota laga rakha hay, dunnia ka koi gosht bara ya chota nahi hota, bara wohi hay jo acha hay, … **

oh musaawaat

gosht to gosht hay iss main kia bara kia chota,

size kaa farq jaani size kaa farq

agar gosht bakray main fit howa to uss main gosht ka kia qusoor hay ?

bakraY kaa bhee naheeN hai

** hay to wo bhi laal …**

laal tau khoon bhee hota hai
khoon tau zaroori bhee hotaa hai
zaroori tau khana bhee hotaa hai
khana tau haleem bhee hotaa hai
aur haleem maiN gaye kaa gosht hota hai
gosht tau bakraY kaa bhee hotaa hai
waisaY honaY ko iss duniyaa maiN kiyaa naheeN ho saktaa

**kia chotay gosht main dil nai hota ? **

pooch kar bataaouN gaa.. woh bhee yehi keh rahai thaY :halo:

kia uss dil main jazbaat nai hotay ?


uss ko tau kaaT diyaa gayaa hotaa hai, jazbaat kiyaa khaak hoN geY?

**Kabhi socha hay kay kitna dukh hota hoga uss chotay gosht ko jab usi kay samnay ussay chota kaha jaata hay… **

yeh aap kaY dil kee aawaaz lagti hai.. kiyaa kabhi loug aap ko “choTay idhar aanaa” keh kar bulaataY rahai haiN?

**gosht main kabhi tafreeq nahi karni chahyay… **
tau phir tau haleem aur nihaari bulkaY gola kabaab aur bihaari kabaab aur chappali kabaab kaa bhee aik hee naam honaa chaahiye.. (boNgiyaaN urooj par haiN)

**agar yehi baat hay to Chupkali ka gosht kia hay ? Micro-chota gosht? … **
makhi kee misaal bhee daY saktaY thay. zaroori hai favourite cheezoN aa hee zikr karo?

Khudaara iss chotay baray kay chakkaron say bahar nikal aian… air Bakri and Bail ko qareeb laanay ki koshish karain aur sath hi Bakray and cow ko bhi… yeh sab bhi aakhir insaan hi hain, inn main bhi insaan chupa hay… jaisay hamaray ander aik Bakra and Cow chupi howi hay (in some cases bhains bhi )


yeh election taqreer thee yaa selection taqreer??

Re: BaRay kaa Gosht

Jawaab-e-AQ Naama:

oh musaawaat
haan ji, aaj kal aik bakri and 2 shayr aik hi KMC kay nalkay say paani peetay hain :-p

size kaa farq jaani size kaa farq
haan to aik size ki bootian bana lia karo na, hoonh… choti bari botian q banatay ho?

bakraY kaa bhee naheeN hai
bakray khud kisi kay qusoor hain :-p

laal tau khoon bhee hota hai
khoon tau zaroori bhee hotaa hai
zaroori tau khana bhee hotaa hai
khana tau haleem bhee hotaa hai
aur haleem maiN gaye kaa gosht hota hai
gosht tau bakraY kaa bhee hotaa hai
waisaY honaY ko iss duniyaa maiN kiyaa naheeN ho saktaa
Zaalim… Haleem ko yaad dila dia, ab poori raat nai sokoonga…
wo beetay din yaad hain… wo etc etc yaad hain… wagaira wagaira

pooch kar bataaouN gaa.. woh bhee yehi keh rahai thaY :halo:
wo kon? naktay hakeem paa-psoh walay ? :-p

uss ko tau kaaT diyaa gayaa hotaa hai, jazbaat kiyaa khaak hoN geY?
yeh jazbaat kaatnay say khatam nahi hota zalim, yeh wo jazba hay, jo marr kar bhi amarr hojaata hay :blush:

yeh aap kaY dil kee aawaaz lagti hai.. kiyaa kabhi loug aap ko “choTay idhar aanaa” keh kar bulaataY rahai haiN?
log nahi main, yaad karo jab main aaya tha Cafe piaala aur aap charpai kay pass akar kharay hogai thay, tab main nay kaisay order kia tha… :-p

tau phir tau haleem aur nihaari bulkaY gola kabaab aur bihaari kabaab aur chappali kabaab kaa bhee aik hee naam honaa chaahiye.. (boNgiyaaN urooj par haiN)
yeh sab tum dinnia walon ki soch hay, agar aisa hi hay to final product to aik jaisi hoti hay :smiley:

makhi kee misaal bhee daY saktaY thay. zaroori hai favourite cheezoN aa hee zikr karo?
mkahi ko kia nichoornga, kia uss ka arq niklayga… chupkali kay roll kebab … yummy… makhian aap hi chooso :-p

yeh election taqreer thee yaa selection taqreer??
zimnee intekhaabat ki tayyari :s

Re: BaRay kaa Gosht

abay naqal khor. naqal chor insaan mera format churaa liya... waisaY I liked zimni intekhaabat wala jawaab:D

anyway, back to topic, ATA aap baray qasaai haiN yaa choTaY :)???

Re: BaRay kaa Gosht

Haan naqal khor hoon main, main naqal ko kha jaata hoon... gupp gupp gupp...* burp* oops exclude me :$ main tum ko hbi kha jaoonga, q kay... ahem :-D

qasai nahi hoon, main 30 maar khan hoon, mkhaian marta hoon, phir un ko BabbaN-Naan bai ki dukaan par baichta hoon, jissay wo baray piaar say CAKE par sajakar Subhani Bakery main baichtay hain :$