^ naraz ho ker maini kia teer marna hay aise he smiley ko sharf-e-istimal baksh day tee hoon
dada marhoom kub hoye abhi to un kay khaylnay kay din tha abhi to unhoon nay dadi say shadi kerne thee ,,abhi to unhaoon nay pata nahi kia kia kerna tha
actually wo chillay ko katnay Russian ocean say hotay howay Middle east kay ghanay jangaloN main tarbooz kay sab say oonchay darakht kay oopar charh gayay hain, kal fone kara tha k 'sab kuch dikhta hay' main nay kaha k itni oonchi pohanch kar bhi na dikhay to faida,
sab ko salam and dua and kuch logon ko piar dia hay, so jiss jiss ko jo chahyay wo iss tokri main lay lain...
dadi say direct contact main hain wo, jahan hain wahan say thori hi door 'aalam-e-barzakh main kafi dadiaan pai jati hain, iss liay dadi ko kahain k fikar karain lekin zida nai...
^ app kay bataaon main tazad bohat zyada paya jata hay
ab say kuch 5 min 5 sec pehlay app ka kehna tha dada merhoom hain or ab app ka kehna woh tarbooz palce main na sirf mojood hain bulkain un kay salam o dua kay prograam ki nashriyat bhi 24 ghantay jaree hay
ghalat qisam ki afwahain phyla ker mulk main khofo hiraas na phaylain
^-- Pg-bee Aalam-e-barzakh ka naam suna hay kabhi ? bachpan main to suna hoga kabhi, uss waqt to kafi choti hongi aap, uss zamanay main to tv bhi naya naya aaya hoga, black-and white ...
aaj kal wo aalam-e-barzakh ki thandi hawa khanay gayay hain ghanay janglaat main, wahen wo muqtalif qisam kay chillon ko bhi kat rahay hain,...
wahen say mobile par mujhay message kartay rehtay hain, kafi mana kia main nay k bhai-miaan tang na kia karo, lekin wo dada k\hi kia jo pia mann bhai... oops galti ho hi gai... I mean k maan jain...
soch raha hoon apna number change kara loon hula-ied