Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

**

merey haathoN meiN baaloN meiN kabhi baarish saja deyna

kisi khushboo ka an-deykha sa aanchal orrh looN sar par
gulaabo kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna

wo merey haath par hontoN ko rakhey piyaas ke dukh meiN
isi khaatir haatheli par koyi darya banaa deyna

bikharti dhoop sa cherey meiN behtey aab par dekhoN
zara paani meiN apney aqs ka manzar milaa deyna

meiN bhar looN haath ka piyalaa sunheri dhoop kirnoN sey
merey sooraj ko dariya ke kinarey par bulaa deyna

usi ke haath rakh deyna bahaaron ke sabhi maosam
mujhey titli ke par dey kar bahaaron ki duwa deyna

meri aaNkheiN jaga ke tum jo merey khuwaab parrhtey ho
suno jaaney sey kuch pehley meri aankhaiN sulaa deyna!

**

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Awesome.... i can read it over and over again... this has to be in my collection... thanks soo much for sharing :)

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Welcome fara ji :)

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Bhut umda amal bhai :)

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Not bad :)

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

:omg:

ye bhi unki hai By Kanwal ....beautiful sharing..

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Aap ney barra hisaab kitaab rakha huwa hey Kanwal ka :)

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

buhat khob amal
beautiful sharing

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Is mein hansi ki kaya baat ahi :smiley:

very nice Amal. :k:

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

very nice1 :k:

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Awesome!!!

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Wow nice words :)

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Shukriya Waleed :slight_smile:

Thanx deadsoul :slight_smile:

Thanx ehsan bhai :slight_smile:

Shukriya Shab :slight_smile:

Thanx buddy :slight_smile:

Shukriya muddii ji :slight_smile:

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

[quote="“UZ, post:40, topic:229100"”]

Not bad :slight_smile:
[/quote]

[quote="“UZ, post:40, topic:229100"”]

Is mein hansi ki kaya baat ahi :smiley:
[/quote]

Awwwww…keh rey heiN is meiN haNsi ki kya baat hey… :omg: :omg: :omg:

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

bohat ala…ap to seedhe seedhe chupay rustam niklay :cb:

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

**meri aaNkheiN jaga ke tum jo merey khuwaab parrhtey ho
suno jaaney sey kuch pehley meri aankhaiN sulaa deyna!

wesay tu saRi beautiful sharing lakin this is awsome Amal thanks 4 sharing with us :)
**

Re: Barasti boond chun chun kar koyi gajra banaa deyna

Bahut aa’laa … :k: