*Bedardi balma tujh ko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhoon se woh SAwan yaad karta hai
Kabhi hum saath guzray in sajeli raahoon se
Khizaan ke bhais mein girtay hain ab pattay chanaroon se
Yeh raahain yaad karti hain yeh gulshan yaad karta hai
Koi jhonka hawa ka jab mera anchal uraata hai
Gumaan hota hai jaise tu mera daaman hilaata hai
Kabhi chooma thaa jo tu ne woh daaman yaad karta hai
Wohi hain jheel ke manzar wohi kirnoon ki barsaatain
Jahaan hum tum kiya kartay thay pehroo pyar ki baatain
Tujhe is jheel ka khamosh darpan yaad karta hai
Bedardi balma tujh ko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhoon se woh SAwan yaad karta hai...*
Like it!
Bohat acha song hai & poorana bhi.
Tujhe is jheel ka khamosh darpan yaad karta hai
:k: