Barasta hai jo aankhoon se woh saawan yaad karta hai

Bedardi balma tujh ko mera mun yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh sawan yaad karta hai

Kabhi hum saath guzre in sajeli raah-guzaroon se
Khizaan ke bhais mein girte hain ab pattay chanaron se
Yeh raahain yaad karti hain yeh gulshan yaad karta hai
Bedardi balma tujh ko mera mun yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh sawan yaad karta hai

Koi jhonka hawa ka jab mera aanchal uraata hai
Gumaan hota hai jaise tu mera daaman hilaata hai
Kabhi chooma thaa jo tu ne woh daaman yaad karta hai
Bedardi balma tujh ko mera mun yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh sawan yaad karta hai

Wohi hain jheel ke manzar wohi kirnoo ki barsaatain
Jahaan hum tum kiya karte thay pehroo pyar ki baatain
Tujhe is jheel ka khamosh darpan yaad karta hai
Bedardi balma tujh ko mera mun yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh sawan yaad karta hai

nice song! dont b sad B happy Amarbail!
thanks 4 sharing!

Very nice

Thanks TajMahal and Dilsay ...