baras baras se tumhari hi dhyaan mein gum tha
zameen tha mae magar aasmaan mein gum tha
mujhe khabar hi nahi thi hawa ki saazish ki
mae ik parinda tha apni urdaan mein gum tha
samay ki ot se ik yaad ne pukara tha
mae galee ke puraane makaan mein gum tha
mujhe laga ke ye sab baatein meri baatein hain
mae ek dard bhari daastaan mein gum tha
zamana aur hi kuch keh raha tha aur dil kuch
mae ik ajeeb si vehm-o-gumaan mein gum tha
mae kis ko baat sunata jo baat sachhee thi
tamaam shaher toh jhhute bayaan mein gum tha