Bara katthin hai raasta jo aa sako tu saath do
Yeh zindagi ka faasila mita sako tu saath do
Hazaar imtehaan aur hazaar aazma’eshain
Hazaar dukh hazaar ghum utha sako tu saath do
Yeh zindagi yahaan khushi ghamoon ke saath saath hai
Hansa sako tu saath do rula sako tu saath do
Jo tum kaho yeh dil tu kya mein jaan bhi karoon fida
Jo mein kahoon tu ek nazar luta sako tu saath do
Baray faraib khaaogay baray sitam uthaaogay
Yeh umer bhar ka saath hai nibha sako tu saath do …