Don’t know if this been posted before… I loved it when I read…
Bara kathan hay rasta jo aasako to saath do
Yaye zindagi ka fasla mitasako to saath do
Barey fareb khao gay barey sitam uthao gay
Yaye umar bhar ka saath hay nibha sako to saath do
Jo tum kaho yaye dil to kia mein jan bhi karon fida
Jo mein kahon to ik nazar lutasako to saath do
Hazar imtihan aur hazar azmaeshein
Hazar dukh, hazar gham utha sako to saath do
Yaye zindagi yahan khushi ghamon kay saath saath hay
Rola sako to saath do, hansa sako to sath do