Bara dushwar hota hai
Zara sa faisla kerna
Keh jeevan ki kahani ko
Bayan – e – bay zabani ko
Kahan say yaad rakhna hai
… Kahan say bhool jana hai
Kis say kitna chupana hai
Kisay kitna batana hai
Kahan roo roo kay hansna hai
Kahan hans hans k roona hai
Kahan aawaz deni hai
Kahan khamoosh rehna hai
Kahan rsta badlna hai
Kahan say lot jana hai
Bara dushwar hota hai
Zara sa faisla kerna…
Re: Bara dushwar hota hai
zabardast:lajawab:
Re: Bara dushwar hota hai
Very nice,
Re: Bara dushwar hota hai
itni sari precautions…alaa :hinna:
Re: Bara dushwar hota hai
zabardast :k: