Bar-aks k jaisa

funkar to dekhay, nahi dekha tere jaisa
iqraar bhi kartay ho inkaar k jaisa

hum ye janay k jaan gaye hain tujh ko
tera to aks bhi hota hai bar-aks k jaisa

Re: Bar-aks k jaisa

Nice shair.. Bar aks ki jagah Pas e Deewar kaisa rahe ga for qafia?

Re: Bar-aks k jaisa

Pas e Deewar bhi theek hai

Re: Bar-aks k jaisa

waah...aapkii koshish achchhii hai magar aapko zaraa saa zabaan kii taraf dhyaan denaa chahaiye, merii Haqeer raaye meN...apne kalaam meN bahtarii laane ke liye aisaa zaroorii hai k zabaan o bayaan bahtar ho...shaa'irii kii yeh ek Khaas zaroorat hai! :) iske baGahir kalaam men nikhaar nahiiN aataa! :(

Re: Bar-aks k jaisa

apki murad shaystgi hai, ya smoothness ?

Re: Bar-aks k jaisa


kia matlab? samjhaa nahiiN...sachchii, aapkii baat samajh shareef meN nahiiN aayii! :(

Re: Bar-aks k jaisa

zuban o bayan se kia muraad hai aapki