Jab hua irfaan tu gham aaraam-e-jaan banta gaya
soz-e-jaanaa’n dil mein soz-e-deegraan banta gaya
rafta rafta munqalib hoti gaee rasm-e-chaman
dhire dhire naghma-e-dil bhi fughaan bantan gaya
main akela he chala tha jaanib-e-mazil magar
ghaer saath aate gaye aur carwaan banta gaya
jis taraf bhi chal parhe hum aabla paayan-e-shauq
khaar se gul aur gul se gul-sitaan banta gaya
Sharh-e-gham tu mukhtasar hoti gaee uske huzuur
lafz jo muuh se na niklaa daastaan banta gaya
dahar mein Majrooh koee jaavidaan mazmuun kahan
mein jisse chuutaa gaya wo javedaan batna gaya
By: Majrooh Sultanpuri