Bani Israeel kay aik abid-o- zahid ka ajeeb waqia:

Bani Israeel kay aik abid-o- zahid ka ajeeb waqia

Hakeem-ul-Islam Hazrat Qari Muhammad Tayyab Sahib (RA) (1973/ 1403 h) fermataiN haiN:
Hadith mai ya waqia naql kiya gaiya hay.
Bani Israeel kay abid-o-zahid shahas ka or yai hadith Alamh Jalal-udeen Saiuti (RA) nay naql kiya hay kay bani isareel kay aik bohat abid-o-zahid shahs tha. Raat din Allah ki ibadat karta tha chonkay sahib ayall tha (yani bachay bevi thay) is liya kamanay ka bhi dandha tha. Dukan ki soorat maiN thoRi si tijarat thi magar is ka dill uljha sa rehta tha or chahta tha kay ya saab chooR kay sirf Allah ki hi ibadat karay. Magar sochta kay bive bachooN ka kiya karay ga, behar haal aik din usay jazba aya or sari dolat-o-tijarat us nay bivi or bachooN kay naam ki or hood ruhsat ho kay samndhar kay beech maiN pohanch gaiya. Wahan aik telay per us nay jompaRi bana li or Allah ki ibadat maiN masroof ho gaiya. Un kay mazhib maiN rahbaniyat ki ijazat thi yani sab chooR kay wo aik konay maiN Allah ki ibadat karta rahay magar Islam nay is ki ijazat nahiN di. Ya shahas mazhab kay mutabiq jaa kay baith gaiya. Goya is nay baRi ibadat ki. KioNkay mukhlis tha or sahib-e-dill tha. is liya samdar kay beech waly taly per jahan koi jahaz na aa sakay or na koi kashti waghira Allah nay apnay fazal say wahan aik meetha chashma jari kaar diyaor isi pahaRi per aik anar ka darahat uga diya, is abid ka kaam tha kay roz aik naar kha leta or aik katora pani ka pi leta or 24 ghantay ibadat maiN masroof rehta. is ki omer 500 bars ki hoi or ya 500 bars isi shan say guzray.ab is kay intaql ka waqat aya to is nay Allah say darhast (request) ki kay Ay Allah ya tera fazal tha kay Tu nay mujhay ibadat maiN lagaya ab meri khawhish hay kay mujhay sahday ki halat maiN mout dijya ga takay mera hatima ibadat per ho or meri doosri derhaawast ya hay kay sajday ki halat maiN mera badan Qiyamat taak mehfooz rakhiyai, na zameen khay na keeRay makoRay khaiN takay qiyamat taak maiN tera ibadat guzar banda samjha jaooN. Haq Talah nay us ki donoon duaiN qabool fermaiN or Hazoor (SA) fermataiN haiN kay us ka badan ajj bhi mehfooz hay lakin Allah Taala nay us telay kayo per baRay baRay gunjaan daraht aisay oga diya kay wahan taak janay say heebat khataiN haiN is liya wahaN koi nahiN jata. Na koi janwar na insaan. or ya qiyamat taak mehfooz rahay ga. Isi halat maiN Alah kay haaN is ki peshgi ho gi. Haaq Taala irshad fermaiN gay

Kay Ay meray bandhay APNAY FAZAL say maiN nay tumhaiN bahasha or tujhay baRay muqamat diyai Janat maiN jaa kay aram kaar. Wo banda arz karay ga

Ay mery Allah maiN nay to sari omer teri ibadat maiN guzari phi bhi teray fazal say janat maiN jaooN ga, maiN to apni ibadat kay badlay janat maiN jaa raha hooN.
Allah Taala fermaiN gay,
NAHIN Hum apnay fazal say janat maiN baij rahaiN haiN

wo phir kaha gan nahiN ay Allah phir meri ibdat kis kaam ay gimaiN to apni ibdat kay badlay janat maiN jaa raha hooN…
To hukaam ho ga isay Jahanum kay qareeb leja kaar khaRa kaar do. Jahanum maiN dahal na karna isay itni door rakho kay jahanum karasta wahaN say 500 baras ka ho. Malaika usay lejaiN gay or khaRa kaar daiN gay.
Jahanum ki taraf say aik garam hawa ay gi or aag ki lipaat ay gi is ki wajha say wo saar say paooN taak khushaak ho jay ga. or us ki zubaan per kantay khaRay ho jaiN gay or piyaas piyaas chillana shooro kaar dai ga is waqat ghibi hath zahir ho ga jis maiN thandhay pani ka katora ho ga jis maiN thanday pani ka ik katora ho ga. Ya abid dooRay ga, ay bKhuda kay banday ya pani mujhay dai day maiN bilkul marnay ki halat maiN hooN.
Awaaz ay gi ya karora to milay ga magar pani ki qeemat hay mufat nahiN milay ga. Wo poochay ga is ki qeemat kiya hay?
kaha jay ga, jis nay halis 500 baraas ibaadat ki ho wo koi agar apish karay to usay ya pani mill jay ga.
Abid kahay ga, meray paas hay 500 baraas ki ibadat. Wo is ibadat ko paish karay ga or usay pani mill jay ga usay piyai ga to us ki jaan maiN jaan ay gi.
Haaq Ta’aal kahaiN gay usay wapis lao, phir us ki peshgi ho gi. Haaq Ta’aal deryaafat fermaiN gay Ay bandhay teri 500 baraas ki ibdaat kay silay maiN to hum azad ho gay…500 baraas ki ibdat kay badlay tu nay pani ka ik katora lay liya. or ya qeemat tu nay hood tajveez ki lihazaab tu barabar sarabar ho gaiya. Ab Humaray zimay kooch nahiN tujhay teri ibdat ka sila mill gaiya.

**Ab wojo tu nay lakhooN danay anaar khay AIK AIK danaay ka hisaab dayday, is kay badlay kitni namazaiN paRiN haiN? kitnay sajday kiya haiN?or jo 1000 katora pani kay piyai haiN aik aik qatray ka hisab day is pani kay badlay kini ibadtaiN kiN? or wo jo thanda saans leta tha jis say zindagi qaaeem thi aik aik sance ka hisaab day day…is kay badlay kiya ibadtaiN lay kaar aya hay? wo jo teri ankhaooN maiN hum nay roshni di thi or ta-haad-e-nigha say aik aik cheez ko daikhta tha aik aik taar-e-nigha ka hisaab day day, is ka badlay kini ibadtaiN lay kaar aya hay?
500 baaras ki ibdat ka badla to to aik katora pani ho gaiya. ab jo doosri naimataiN (blessings) istamal kiN (use keen) in ka hisaab day day.
**

Abid pathra jay ga. or kahay ga beshaak Ay Allah nijaat AAP hi kay fazal say ho gi kisi ka amal kisi ko nijaat nahhiN dilay ga.

Haqeeqat ya hay kay lakhooN barsaa ki ibadat bhi lkaray ga to bhi zariya-e-nijaat nahiN baan sakay gi. Jaab taak fezal-e-Khuda Wandi na ho.
Is liya kay wo jo ibadat karay ga taqat bhi to wohi day ga, or taqat kay baad jo iradha dill maiN ho ga wo iradha kon paidha karay ga? wo bhi to WOHI paida karay ga na. Phir toufeeq kon day ga? wo bhi WOHI day ga. Phi rap nay kiya kiya?
Saab kooch to unhooN nay kerwaya.
Irdha unhooN nay kerwaya , toufeeq UnhooN nay di, taqat bhi unhooN nay di.
ap nay sirf 4 sajday kaar liya to kamal kaar diya…iin sajdooN maiN bhi jo harqat ki badni taqat say wo bhi ap ki zati nahiN…wo bhi UNHI ki di hoi hay. awal say lay kay akhir taak kaam to sara unka hay or kehnay lagay main nay kiya kiya or phir admi id per fahar karay, sara fazool hay.
balkay mouqa shukar ka hay kay tamaam naimataiN US nay APNAY fazal say deen haiN.

( If I had made any mistake , may Allah forgive me, ameen)

mashaallah....
very inspiring....
jazak Allah khayr....

^-----My pleasure:)

jazakallah khair.....

qari tayyab was very known scholar .....was spiritual leader of many .......
his bayans were very ilmi.....and thought provoking...