mashoor gana hai (kumar sanu sings it afaik) par humari interest to shairy main hai, good lyrics!**
band honton se jo eik baat kahi thee main ne
tuj ko ab tak meri uss baat ka ehsaas nahi**
**
merey jazbaat ka tu saaz nahi sun sakta
kion merey pyaar ki awaaz nahi sun sakta**
esa lagta hai koe dil hi terey pass nahi
tuj ko ab tak meri uss baat ka ehsaas nahi
goonjti hai meri darhkun ki sada terey leye
meri ankhon main abi tak hai nasha terey leye
main banu jaam magar tuj ko meri pyaas nahi
tuj ko ab tak meri uss baat ka eshaas nahi
**band honton se jo eik baat kahi thee main ne
tuj ko ab tak meri uss baat ka ehsaas nahi
bass
aur kya kaha ja sakta hai? ![]()
**