aadaab, dosto!
Humare Dost Ashraf Sb ki aik ghazal paish-e-khidmat hai. Apni apni aaraa say zaroor mutfeed keejay. Shukriya.
**Ghazal
banay bebaak, sarkash, aur ba’njaaray, mohabbat mai’n
rahay armaan phir bhi dil mai’n bechaaray, mohabbat mai’n
woh saari umr ghalti par, kaf-e-afsos malta hai
zara si dair karta hai, jo izhaar-e-mohabbat mai’n
taa’sur tak nahee’n tha jin kay chehray par banavaT ka
wohi niklay sarapa dard kay maaray, mohabbat mai’n
kiyay ra’nj-o-alm bardasht, teri aarzu kar kay
khasaray hi uThaayay par nahee’n haaray, mohabbat mai’n
koi bebas, koi majnuu’n, koi naadaan, kehta hai
sabhi ki mukhtalif raayay, miray baaray, mohabbat mai’n
jalay jo 'ishq ki hiddat say woh 'ushshaq hi aksar
banay jugnu, patangay, phool, aur taaray, mohabbat mai’n
karay ga irtekaab-e-jurm-e-ulfat phir bhi yeh insaa’n
barabar us ko gar chunvaa’o deevar-e-mohabbat mai’n
laga lay jo bhi paba’ndi zamana pyar par ‘ashraf’
laga maila rahay ga phir bhi bazar-e-mohabbat mai’n !!!
Ashraf Gill**