***banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
huaa chiraaG to ghar hii jalaa gayaa ik shaKhs
tamaam rang mere aur saare Khvaab mere
fasaanaa keh ke fasaanaa banaa gayaa ik shaKhs***
mein kis havaa mein uruuN kis fazaa mein laharauN
dukhon ke jaal har suu bichhaa gayaa ik shaKhs
palaT sakuuN mein na aage barh sakuuN jis par
mujhe ye kaun se raaste lagaa gayaa ik shaKhs
muhabbatein bhii ajab us kii nafaratein bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh mein samaa gayaa ik shaKhs
vo mahataab thaa marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shaKhs
***khulaa ye raaz ke aaiinaa Khaanaa hai duniyaa
aur is mein mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shaKhs
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
:~) muj ko dewana kar gaya woh sakhs.
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
Khulee jo aankh tu wo tha na wo zamana tha
dahakti aag thi tanhaee thi fasaana tha
Ghamo'n ne baa'nt liya hain mujhe yun aa pas main
ke jaese main koee luuta howa khazaana tha
ye kya ke chund he khadmo'n pa thak ke baeth gaye
tumhe tu saath mera duur taq nibhaana tha
mujhe jo mere lahuu main dubo ke guzraa hain
wo koee ghaer nahee yaar aik puraana tha
Khud apne haath se "Shahzad" usko kaat diya
ki jiss darakht ki tahnee pe aashiyaana tha
By : Farhat Shahzad

very nice mirabas is ghazal ka koi jawab nahin bohat khob
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
**and very nice sweet sana:)**
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
buhat khoob janab
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
nice one sana
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
thx to all:)
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
muhabbatein bhii ajab us kii nafaratein bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh mein samaa gayaa ik shaKhs
ah...nice one
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
Khulee jo aankh tu wo tha na wo zamana tha
dahakti aag thi tanhaee thi fasaana tha
Ghamo'n ne baa'nt liya hain mujhe yun aa pas main
ke jaese main koee luuta howa khazaana tha
ye kya ke chund he khadmo'n pa thak ke baeth gaye
tumhe tu saath mera duur taq nibhaana tha
mujhe jo mere lahuu main dubo ke guzraa hain
wo koee ghaer nahee yaar aik puraana tha
Khud apne haath se "Shahzad" usko kaat diya
ki jiss darakht ki tahnee pe aashiyaana tha
By : Farhat Shahzad
very nice..thnx for sharing mirabbas...kindly requesting u...aap apni poem khud seperate post karain to ziyada acha hoga na..
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
very nice :-)
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
always nice to read this ghazal :-) thank you for posting.
Amal
March 7, 2006, 12:40pm
13
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
As ghazal kisi ke said, yes indeed, it's alway nice to read this ghazal. That's so sweet of you sweet sana :)
nakhan
March 7, 2006, 2:56pm
14
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
***banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
huaa chiraaG to ghar hii jalaa gayaa ik shaKhs
***palaT sakuuN mein na aage barh sakuuN jis par
mujhe ye kaun se raaste lagaa gayaa ik shaKhs
muhabbatein bhii ajab us kii nafaratein bhii kamaal
merii tarah kaa hii mujh mein samaa gayaa ik shaKhs
vo mahataab thaa marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shaKhs
***khulaa ye raaz ke aaiinaa Khaanaa hai duniyaa
aur is mein mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shaKhs
bohot zabardast...
Thanks for sharing Sana :)
nakhan
March 7, 2006, 2:58pm
15
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
Nice one Mirabbas
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
thst tooo a really nice one .......... hey sana ..from where u get thts selection....tell me as well so tht i read directly from there .......... par nice one ......really nice one....
Re: banaa gulaab to kaaNTe chubhaa gayaa ik shaKhs
some from my dairy n some from urdupoetry.com