ban jana mera

khamoshi ki tarhan teri sham main ana mera
dobna ek bar or or phir dobtay jana mera
hum main bagon kisi baybaki kahan say agayie
youn mehek uthna tumhara or mehkana mera
teri tanhai kay sayie main hai tanhai meri
teray veranay ki sarhad per hai verana mera
apni apni khamoshi main apnay apnay khwab main
mujhko dohrana tera tumko dohrana mera
chor ana khud ko un ankhon kay parday main kahin
tera youn mujhko banana or ban jana mera

Re: ban jana mera

waaah bahut aala !

Re: ban jana mera

buhat khoob shab :k:

Re: ban jana mera

Buhat Khoob :~)

Re: ban jana mera

v.best

very nice :k: