baithay baithay hee achanuk woh rooth jaata hai
jaanay kiyooN dil pay hamaaray yooN sitam dhaata hai
bay rukhi ki bhi koi hud to muqarrar ho gee
hud say baRh ja’ay paimana to chhalak jaata hai
roothnay walay khabar tujh ko nahiN hai shaa’ed
hamaiN roothoN ko manaanay ka hunar aata hai
kyooN na kar paatay tujhay maum meray deeda-e-tar
aankh roti hai to patthar bhi pighal jaata hai
wisl ki chah meiN woh bhi hai muztarib laikin
ana ko toR kay iqrar kar nahiN paata hai
Sadaf tu kab talak jheelay gee talkhiaan us ki
kha kay thokar to deevana bhi sambhal jaata hai