Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan

Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan

Mujhay Aadat Naheen Hay itranay Ki Bas Kabhi Kabhi itrata Hoon :snooty:

[quote=]
Shararton ke kia hadood mukerer ker rekehe teh?
Thee ??? Na Jee Naa … Abhi Bhi Humari Shararatoo’n Say Muhallay Walay Tang Hain … Aur Dost Ahbaab Bhi hehe
**hasnay ki baat nai hai PeeK muj say sabak ( Q ) lain mein koi sharat (Shararat )kartee hun chai **
[/quote]
Aji Hum Tou Aapki Gulabee Urdu Par Hans Rahay Hain :cb:

[quote=]
**Kia kebeh esa hoa ke ap kese se dostee kerna chahte hon leken hamesha nakame ka samna kerna para ho? **
ALLAH Pak Jhoot Na Bulwa’ey … Aisa Kabhi Hova Tou Naheen Haqeeqi Zindagee Main …
**tou khowaaboon ki zindagi mein hua kya? **
[/quote]
Khwaboo’n Ki Zindagee ko hum nay Alvidaa Keh Diya Hay :~)

[quote=]
Apke nezer meyn apke life kesee he? kamyab ya kamyabee ke talash?
50/50 … 50 percent kaamyaab is liay k ALLAH Pak Ka diya hova Buhat Kuch Hay Laykin Phir Bhi Kuch Kar Guzarnay Ki Khwahish Hay blush
**jab sharma chukein tou khowaishaat ko poora karnay k liyey koshish shuru kijiyey ga **
[/quote]
Uskay li’ay Mujhay Aap Say Ijazat laynay Ki Zarorat Naheen :smilestar:

[quote=]
**What u do if u angry? **
Fast Driving Karta Hovaa Kissi Sunsaan Jagah Ja kar Baitth Jaata Hoon Aksar Sea View Chala jaata Hoon And Then Main Aur Mayree Smoking
tambakoo noshee sehat k liyey muzhar …wazarat-e-bheegi
**PeeK yahan noshee say muraad koi larkee nahi hai **
[/quote]
Koshish Kara Raha Hoon Noshee Ki Jaan chorrnay Ki Magar yahan kambal Wali Situation Hay :smiley:

[quote=]
**aaj kal k dulhay sehra q nahi bandttay?aap kya karain gay ya kya kiya? **
Yeh Sawal You UN Say Poochain Jo Is Kaar e Khair ko Ba Husn O khobi jhail Chukay Hoon … Main Tou Abhi Zero Meter Kunwara Hoon choosni
**kabhi na kabhi yeh meter bhi 0 say upper barhay ga na **
[/quote]
Ji Naheen … Main Nay Meter Ki Taar Nikali Hovee Hay Yeh hamaysha Zero Meter Hee rahayga :smiley:

[quote=]
**kisi aisee dish ka naam bataean jis ko pakanay mein koi kharcha nahi hota ho? **
Ji Haan Bilkul Khyaali Palao Pakaya Karain… :stuck_out_tongue:
**yani aap ki fav dish **
[/quote]
Aap bhi Pakaaya karain Afaqaa Hoga :~)

[quote=]
**kaha jata hai miaan biwi garee k 2 pahiyyey hotay hain , jin ki 2 bewiyaan hoteen hain woh kya hotay? **
Hayrat Hay Abhi Tak Aap Nay 3 Tyres walai Cycle Naheen Daykhee :smilestar:
**ohhh acha yani aap ka zatee transport **
[/quote]
Yeh Sab Ki Awami Transport Hay Laykin Shayad Aap Is Say Bhi Mehroom reh Chuki Hain … How Sad :~(

[quote=]
**kisi member ko koi title dena chahean gee if yes then y? **
Naheen … Yeh Karnay Say Shayad Kissi Ko Thais Pohanchay :~)
wat a dialogue g …
[/quote]
Shah Rukh Style Main Hansing

[quote=]
Zindage ko lefzon meyn dahleyn to kese legei gee?
Zindagee Ko Lafzzon Main Bayaan Naheen Kiya Ja Skata Janab … Kiya Aap Samandar ko Kozay Main band Kar Aktee’n Hain ???
**Impossible is nothing **
[/quote]
BUT everthing is Not Possible Dear :~)

[quote=]
favourite poster on poetry section?
Sab Hee MashALLAH Achchay poster Hain … Munchoo .. RedI … Ali_…JW… Koyal …Shabzz…MM..Shumaisa…Gul … dania … BeingL … Bheegz u too ( tumhara Naam Na likh Kar Maynay Maar Naheen Khaani )Koi reh To Naheen Gaya bummer
**Deadsoul , Muddii , Sheal Dushwari sab danday k sath aa rahay hain PeeK bacho **
[/quote]
Bheegz k Peechay chuping sorry Fellows … U knOw Na I love u all :hugz:

[quote=]
**Aaap wakt ki pabande ke kitne qaail heyn? **
Ji Bilkul … Sirf Kahanay K Time Par :wink:
kahin shadioon par bin bulayey mehman tou nahi ban k jatay ???
[/quote]
Apni Tarah Samjha Hova Hay Kiya :smilestar:

[quote=]
**Zindagee ke vo din jo ap chahte heyn lout ayain? **
Skool N College Days
Ustaadoon ki mar yaad atee ho gee na or murga banna bhi
[/quote]
Ji Naheen Ustaniyoo’n Ka PYAAR Yaad Aata Hay :blush:

[quote=]
Ager sari zindagi ap pahar khodte rehyn or end pe pe maryel sa chuha nikel ae toh ap ka rad-e-amal kia ho gha?
Chohaa Apni Khair Mana’ey
**q roast karnay ka irada hai **
[/quote]
Tum Byuhat Shauq Say Khaatee Ho Na :@:

[quote=]
agar aap GS say ban** ho jaean tou?**
Aur Bhi Ghum Hain Zamanay Main GS k Siwaaa … Laykin Main Ban Kiyun Honga yeh Tou Aap Nay Bataya Naheen
honay ko tou kuch bhi ho sakta hai na
[/quote]
Haan … Laykin kuch main ban hona Shamil Naheen :smiley: