Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
mujhe bhi sikha dein ![]()
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
![]()
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
nice interview SiD jee :)
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Kuch kaam khud Bhi Seekh Liya Karo ![]()
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
poetry k sab hi members ko :salam:
aaj k hamaray guest jo hain woh bohat hi precious hain aur un ki security musharraf sahab say bhi zayada tight hai q k inko apnay aap ki choree honay ka dar rehta hai yeh iss liyey precious hain q k in k saath surkhaab k khayaali par lagay huey hain i mean hamaray guest hain PRECIOUS^KHAN aka PEE^k. inhoon nay atay hi pashto mein interview dena shuru kar diya jab k sawal meinny abhi poochay hi nahi thay :chai:
jaisay hi in ki pashto khatam hui tou meinny urdu mein interview ka aghaaz kiya
http://www.paklinks.com/gsmedia/thumbs/30908/10.jpg
**Ap ne GS kio join kia? **
Guppy Meet 2005 attend Karnay K Baad Mainay GS join Kiya Tha … Thats Hwy I’m Here Till Now ![]()
duniya ko apnay wajood say kab precious banaya i mean date of birth?
Ji Yeh Rukh e Maahtaab is duya Main 17 dec 1978 ko Tashreef La’yaa…![]()
behen bhaiyoon ki tadaad aap ka no.?
Ji Hum 7 Behan Bhai Hain… I’m the 3rd one … 4 sis n 3 brothers …
**aap precious q hain…kya kabhi kisi nay churanay ki koshis ki? **
Ji Har Koi Apni Nazar Main Precious Hota Hay .. kiya khayal hay … Churanay ki ka’ee koshishain hovee’n Laykin Magar Abhi Tak Koi Kaamyaab Naheen Hovaa Proudy
**itrana achee adat nahi **
Ap ko poetry kion pesend he?
Poetry Aap ko woh Alfaaz muhayya Kartee Hay Jis Say Aap Apnay Zahan Main Ban’nay Waa’lay Khayalat Ki Tasveer Bana Saktay ho …
Apnee hobbies ke bare meyn koch batana pesend keryn geh ?
Hmmm Long Drive ( Akaylay ) … Music … Photography … reading books … Aur Haan Mujhay Quranic Caligraphy karna Pasand Hay :~)
Shararton ke kia hadood mukerer ker rekehe teh?
Thee ??? Na Jee Naa … Abhi Bhi Humari Shararatoo’n Say Muhallay Walay Tang Hain … Aur Dost Ahbaab Bhi :hehe:
hasnay ki baat nai hai PeeK muj say sabak lain mein koi sharat kartee hun chai
**Kia kebeh esa hoa ke ap kese se dostee kerna chahte hon leken hamesha nakame ka samna kerna para ho? **
ALLAH Pak Jhoot Na Bulwa’ey … Aisa Kabhi Hova Tou Naheen Haqeeqi Zindagee Main …
tou khowaaboon ki zindagi mein hua kya?
Kia ap khod bhe lekhte heyn?
Ji … Kabhi Kabhi Laykin Aashiqaana Shairi Naheen … Jo Mehsoos Karta Hoon Likh Dayta Hoon :~)
**Shairee ke liyey mohabbat karna zaroori hai ap ka kya khial he? **
Mayrii Nazar Main Shairii K liay Has’sasiyat zarori Hay … Aur Muhabbat Tou Har Insaan Ko Kabhi Na Kabhi…Kaheen Na Kaheen…Kissi Na Kissi Say Ho Hee Jaatee Hay … :~)
Apke nezer meyn apke life kesee he? kamyab ya kamyabee ke talash?
50/50 … 50 percent kaamyaab is liay k ALLAH Pak Ka diya hova Buhat Kuch Hay Laykin Phir Bhi Kuch Kar Guzarnay Ki Khwahish Hay:blush:
jab sharma chukein tou khowaishaat ko poora karnay k liyey koshish shuru kijiyey ga
**What u do if u angry? **
Fast Driving Karta Hovaa Kissi Sunsaan Jagah Ja kar Baitth Jaata Hoon Aksar Sea View Chala jaata Hoon And Then Main Aur Mayree Smoking
tambakoo noshee sehat k liyey muzhar …wazarat-e-bheegi
PeeK yahan noshee say muraad koi larkee nahi hai ![]()
**aaj kal k dulhay sehra q nahi bandttay?aap kya karain gay ya kya kiya? **
Yeh Sawal You UN Say Poochain Jo Is Kaar e Khair ko Ba Husn O khobi jhail Chukay Hoon … Main Tou Abhi Zero Meter Kunwara Hoon :LB:
kabhi na kabhi yeh meter bhi 0 say upper barhay ga na :hoonh:
**kisi aisee dish ka naam bataean jis ko pakanay mein koi kharcha nahi hota ho? **
Ji Haan Bilkul Khyaali Palao Pakaya Karing ![]()
yani aap ki fav dish
**kaha jata hai miaan biwi garee k 2 pahiyyey hotay hain , jin ki 2 bewiyaan hoteen hain woh kya hotay? **
Hayrat Hay Abhi Tak Aap Nay 3 Tyres walai Cycle Naheen Daykhee :smilestar:
ohhh acha yani aap ka zatee transport
Kabhee ap ko moqa mel jae ke ap jo chahei is donia meyn keryn toh kia keryn geh?
Kaash Dunya Main Aman Ho Ja’ey … bas Itnee si khwahish Hay
Ameen
**kisi member ko koi title dena chahean gee if yes then y? **
Naheen … Yeh Karnay Say Shayad Kissi Ko Thais Pohanchay :~)
wat a dialogue g …
Zindage ko lefzon meyn dahleyn to kese legei gee?
Zindagee Ko Lafzzon Main Bayaan Naheen Kiya Ja Skata Janab … Kiya Aap Samandar ko Kozay Main band Kar Aktee’n Hain ???
**Impossible is nothing **
favourite poster on poetry section?
Sab Hee MashALLAH Achchay poster Hain … Munchoo .. RedI … Ali_…JW… Koyal …Shabzz…MM..Shumaisa…Gul … dania … BeingL … Bheegz u too ( tumhara Naam Na likh Kar Maynay Maar Naheen Khaani )Koi reh To Naheen Gaya bummer
**Deadsoul , Muddii , Sheal Dushwari sab danday k sath aa rahay hain PeeK bacho **
**Fav mausam , kia mausam ap ke mood od pe aser kerta he? **
Cloudy Weather Mayree Kamzoori Hay … aur Halki Bonda Baari shooroo Ho Jaey …I love That Weather … Mood Par tou Asar Karta Hay Agar Banda Bayhis Na Ho Tou ![]()
Apka fav sher, nezem, ya ghezel jo kesee pas-e-menzer ke waga se yad rehta ho? **
Aik Dafa Ghalati Say College Main Urdu Ki Class Attend Kar Lee Prof saheb Nay Pahlay Tou Mayree Class Lee Sab k Saamnay … Us K Baad Aik Shair sunaya … Arz Kiya Hay … Gul e Nargis Ka Guldastaa Ghairoo’n K Haath Kiyun Bhaijaa… Agar Nazrain Milanii Thee’n Tou Aa Kar Khud Mila Laytay** … Woh Ab Bhi Miltay Hain Tou Poochtay Hain Khan Saheb Woh Shair Abhi Yaad Hay Ya Bhool Ga’ey Ho :cb:
**kis member ke intikhaab se inspire hotai heyn ? **
Yeh Pooch Kar Aap Nay Mujhay imtihaan main Daal Diya … Main Tou har Achchi Shairi Say Inspire Ho Jaata Hoon :~)
**Aaap wakt ki pabande ke kitne qaail heyn? **
Ji Bilkul … Sirf Kahanay K Time Par ![]()
kahin shadioon par bin bulayey mehman tou nahi ban k jatay ???
**Zindagee ke vo din jo ap chahte heyn lout ayain? **
Skool N College Days
Ustaadoon ki mar yaad atee ho gee na or murga banna bhi
**Ager ap ko koi bataei ke falan ap ki buraiya ker raha tha to ap ka kia rad-e- amal ho gah? **
Kuch Naheen … Uski Gheebat Karnay say Mayray ( Naakardah ) Gunah Kam Hongey
pehli mulakat meyn shakhsiyat ki kis cheez ka jaiza lete heyn?
Libaas Aur baat karnay Ka Andaaz Insaan Ki Shaksiyat ko Ujagar karta Hay … ![]()
Ager sari zindagi ap pahar khodte rehyn or end pe pe maryel sa chuha nikel ae toh ap ka rad-e-amal kia ho gha?
Chohaa Apni Khair Mana’ey
**q roast karnay ka irada hai **
agar aap GS say ban ho jaean tou?
Aur Bhi Ghum Hain Zamanay Main GS k Siwaaa
… Laykin Main Ban Kiyun Honga yeh Tou Aap Nay Bataya Naheen
honay ko tou kuch bhi ho sakta hai na
**Agey samander ho peeche khaee dono meyn se kis cheez ka intekhab karna chahiye, kia in dono afton se bacha ja sektah he? **
Aisay Main Banday Ko Waheen Par Hee Kharray Rehna Chahiay Jahan Woh Is Waqt Kharaa
poetry k members k liyey koi paighaam dena chahein gay ?
Be Loyal With Ur Friends N Family … Good Wishes For everyone … Love Yea
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Pix to PK bhai ki hoti hain m inspired :) pehle b dekhi thin `~ ab baki interview parhta hon !
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
**MashALLAH mere co star bhi hain
m 20 n u r 17 **
**
Shaitaan Puray ![]()
n baaki intr vu b acha hai maza aya parh kar aur aap ka apna selection bhi khoob hota hai !
Khush rahiye Jahan Rahiye Amin !
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
bheegz well done; pee k so nice knowing you janab :)
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
very nice interviews being and P Khan.
keep smiling
being you need to put on some weight dear.
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
very nice interview PK jee :_
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
very nice interviews being and P Khan. keep smiling
being you need to put on some weight dear.
send sum w8 i vl put it onn :p
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Thanx BL …
Rehna tou PAKISTAN Main Hee Hay ![]()
Thanx Muncho Bhai :~)
Thanx Star :~)
Thanx RedI :~)
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Mujhay Aadat Naheen Hay itranay Ki Bas Kabhi Kabhi itrata Hoon ![]()
[quote=]
Shararton ke kia hadood mukerer ker rekehe teh?
Thee ??? Na Jee Naa … Abhi Bhi Humari Shararatoo’n Say Muhallay Walay Tang Hain … Aur Dost Ahbaab Bhi hehe
**hasnay ki baat nai hai PeeK muj say sabak ( Q ) lain mein koi sharat (Shararat )kartee hun chai **
[/quote]
Aji Hum Tou Aapki Gulabee Urdu Par Hans Rahay Hain ![]()
[quote=]
**Kia kebeh esa hoa ke ap kese se dostee kerna chahte hon leken hamesha nakame ka samna kerna para ho? **
ALLAH Pak Jhoot Na Bulwa’ey … Aisa Kabhi Hova Tou Naheen Haqeeqi Zindagee Main …
**tou khowaaboon ki zindagi mein hua kya? **
[/quote]
Khwaboo’n Ki Zindagee ko hum nay Alvidaa Keh Diya Hay :~)
[quote=]
Apke nezer meyn apke life kesee he? kamyab ya kamyabee ke talash?
50/50 … 50 percent kaamyaab is liay k ALLAH Pak Ka diya hova Buhat Kuch Hay Laykin Phir Bhi Kuch Kar Guzarnay Ki Khwahish Hay blush
**jab sharma chukein tou khowaishaat ko poora karnay k liyey koshish shuru kijiyey ga **
[/quote]
Uskay li’ay Mujhay Aap Say Ijazat laynay Ki Zarorat Naheen ![]()
[quote=]
**What u do if u angry? **
Fast Driving Karta Hovaa Kissi Sunsaan Jagah Ja kar Baitth Jaata Hoon Aksar Sea View Chala jaata Hoon And Then Main Aur Mayree Smoking
tambakoo noshee sehat k liyey muzhar …wazarat-e-bheegi
**PeeK yahan noshee say muraad koi larkee nahi hai **
[/quote]
Koshish Kara Raha Hoon Noshee Ki Jaan chorrnay Ki Magar yahan kambal Wali Situation Hay ![]()
[quote=]
**aaj kal k dulhay sehra q nahi bandttay?aap kya karain gay ya kya kiya? **
Yeh Sawal You UN Say Poochain Jo Is Kaar e Khair ko Ba Husn O khobi jhail Chukay Hoon … Main Tou Abhi Zero Meter Kunwara Hoon choosni
**kabhi na kabhi yeh meter bhi 0 say upper barhay ga na **
[/quote]
Ji Naheen … Main Nay Meter Ki Taar Nikali Hovee Hay Yeh hamaysha Zero Meter Hee rahayga ![]()
[quote=]
**kisi aisee dish ka naam bataean jis ko pakanay mein koi kharcha nahi hota ho? **
Ji Haan Bilkul Khyaali Palao Pakaya Karain… ![]()
**yani aap ki fav dish **
[/quote]
Aap bhi Pakaaya karain Afaqaa Hoga :~)
[quote=]
**kaha jata hai miaan biwi garee k 2 pahiyyey hotay hain , jin ki 2 bewiyaan hoteen hain woh kya hotay? **
Hayrat Hay Abhi Tak Aap Nay 3 Tyres walai Cycle Naheen Daykhee ![]()
**ohhh acha yani aap ka zatee transport **
[/quote]
Yeh Sab Ki Awami Transport Hay Laykin Shayad Aap Is Say Bhi Mehroom reh Chuki Hain … How Sad :~(
[quote=]
**kisi member ko koi title dena chahean gee if yes then y? **
Naheen … Yeh Karnay Say Shayad Kissi Ko Thais Pohanchay :~)
wat a dialogue g …
[/quote]
Shah Rukh Style Main Hansing
[quote=]
Zindage ko lefzon meyn dahleyn to kese legei gee?
Zindagee Ko Lafzzon Main Bayaan Naheen Kiya Ja Skata Janab … Kiya Aap Samandar ko Kozay Main band Kar Aktee’n Hain ???
**Impossible is nothing **
[/quote]
BUT everthing is Not Possible Dear :~)
[quote=]
favourite poster on poetry section?
Sab Hee MashALLAH Achchay poster Hain … Munchoo .. RedI … Ali_…JW… Koyal …Shabzz…MM..Shumaisa…Gul … dania … BeingL … Bheegz u too ( tumhara Naam Na likh Kar Maynay Maar Naheen Khaani )Koi reh To Naheen Gaya bummer
**Deadsoul , Muddii , Sheal Dushwari sab danday k sath aa rahay hain PeeK bacho **
[/quote]
Bheegz k Peechay chuping sorry Fellows … U knOw Na I love u all ![]()
[quote=]
**Aaap wakt ki pabande ke kitne qaail heyn? **
Ji Bilkul … Sirf Kahanay K Time Par ![]()
kahin shadioon par bin bulayey mehman tou nahi ban k jatay ???
[/quote]
Apni Tarah Samjha Hova Hay Kiya ![]()
[quote=]
**Zindagee ke vo din jo ap chahte heyn lout ayain? **
Skool N College Days
Ustaadoon ki mar yaad atee ho gee na or murga banna bhi
[/quote]
Ji Naheen Ustaniyoo’n Ka PYAAR Yaad Aata Hay ![]()
[quote=]
Ager sari zindagi ap pahar khodte rehyn or end pe pe maryel sa chuha nikel ae toh ap ka rad-e-amal kia ho gha?
Chohaa Apni Khair Mana’ey
**q roast karnay ka irada hai **
[/quote]
Tum Byuhat Shauq Say Khaatee Ho Na ![]()
[quote=]
agar aap GS say ban** ho jaean tou?**
Aur Bhi Ghum Hain Zamanay Main GS k Siwaaa … Laykin Main Ban Kiyun Honga yeh Tou Aap Nay Bataya Naheen
honay ko tou kuch bhi ho sakta hai na
[/quote]
Haan … Laykin kuch main ban hona Shamil Naheen ![]()
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
![]()
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Nice to know about u PK and BL:-)
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Tum Itnay HayaaNaak Kab Say Ho Ga’ey ![]()
Thanx Gul :~)
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Nice Interview P^K :k:
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
PK Pic kis Na-ahel ney edit ki hey :-p
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
PK Pic kis Na-ahel ney edit ki hey :-p
Bheegee Nay :D
Re: Baithak of Bheegiyaad & MasoomMuskaan
Bheegee Nay :D
lagta hey Paani meiN bhigo kar photoshop meiN daali thi :-d