Baitbazi

Ya he hai na tumahahin hum say bichar janay ke jaldi hai
Kabhi milna tumaharay maslay ka hall nakalain gay

yaad us ki khoob nahein Meer baaz aa
nadaan phir wo jee se bhulaya na jaey ga

Aaj kay taray keemiti waday pa mout koo
Tala hai aaj mainay baray ahtram say

*ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
ham aur bul_bul-e-betaab guftaguu karate *

Yahan kisi ko behi kuch hasb e arzoo na mila
Kisi ko hum na milay aur hamain tu na mila

*Ik baar muskura kay mujhey dekh leejiye
Taqdeer merey dar se kahiiN jaa na paayegi *

Ya tujah ko jagtay rahnay ka shooq kab say how?
Mujahay tu khair tara intazar karna hai

*ye meri ana ki shikast hai na dawa karo na dua karo
jo karo to bas ye karam karo muhe meray haal pe chhor do *

Wo mujah ko choor giya tu mujahay yaqeen aya
Koyee behi shaksh zaroori nahi kisi kay liya

Yun na palkain jhuka ke ay zaalim
qatal-e-na-huq haram hota hai
Khwaf-e-furqat hai wasl mein shaamil
shauq-e-dil kab tamaam hota hai

Yun ho raha hai jaise nahin ho raha hai kuch
Yun kar rahe hain Jaise nahin kar rahe hain hum

main aur merii aavaragii

phirate hain kab se dar ba dar ab is nagar ab us nagar
ek duusare ke ham safar mai n aur merii aavaaragii
naa aashanaa har rah guzar naa mehar baa N hai ek nazar
jaaye.n to ab jaaye.n kidhar mai.n aur merii aavaaragii

Eik bas tu hii nahiN mujh se Khafa ho baitha
maiN ne jo sang tarasha woh Khuda ho baitha

Uth ke manzil hi agar aaye to shaayad kuch ho
shauq-e-manzil meiN mera aabala paa ho baitha

Next - Alif

Allaha karay jahan ko mari yaad bhool jaya
Allaha karay ka tum kabhi asa na kar sakoo

**vo dil hii kyaa tere milane kii jo duaa na kare
mai.n tujh ko bhuul ke zi.ndaa rahuu.N Khudaa na kare

rahegaa saath teraa pyaar zindagii banakar
ye aur baat merii zindagii vafaa na kare **

ye tumhari talkh nawaiyaaN koi aur sah kar dikha to day
ye jo hum main gum maiN nibh'a hai mere hoslay ka kamaaL hai

ek tooti hui zanjeer ki faryaad haiN ham
aur duniya ye samajhati hai ke azad haiN ham
kioN hameiN log samajhate haiN yahaaN paradesi
ik muddat se isi sheher meiN aabad haiN ham

Next - M

maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaa_uu.N
'Saqi' kaash yahii ek kaam kar jaa_uu.N

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas
jo izaa.N ho to terii yaad se guzar jaa_uu.N

[izaa.N = permission]

na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi
adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi

yeh shaam bhi bohut hai tere nasbatoon kay sath
jo dil mein lay kay vasl ka imkaan reh gaye