Ye mujh ko maloom tha k khush hay
Wo meri zindagi se door ho ker
Mager main us ko bhula na saka
Bohat dukhi tha main us ko kho ker
naa-karda gunaahoa'n....
naa-karda gunaahoa'n ki bhi hasrat ki milay daad
yaa'rab agar inn karda gunaahoa'n ki sazaa hai !
(ghaalib)
her aik sa sabab poocha terey na milny ka
her aik na kaha woh tere luyee bana hee nahi
ma apni tamam koshisho k bawajood tujhy har gai
aur tu ussay mil gya jis na tujhy manga hee nahi
is qadar musalsal theen shidatain judaiin keen
aaj pehlee baar main nay us say bewafai kee
kya bataon main kis qader mushkil main hon
main tujhay bhulanay k musalsal amal main hon
g to chahta hai ye puchon tujh say kabhi
kya main bhi mojon teray mazy k kisee pal main hon
Nit naye chehre kisi ki aankh mein jachte nahin
Woh akela shakhs saare sheher ka armaan tha
ask rawan k nehar hai aur hum hain doston k yaad
is bewafa ka sehar hai aur hum hain dosto
yeh ajnabi say manzelein aur raftaga
tanhaye ka zahar hai aur hum hain dosto
bait baazi
khawab takra kay palat jatey hain bandd aankhon say
janey kis jurm kee paaee hai sazaa shaam kay baad
Re: bait baazi
[QUOTE]
*Originally posted by timepaas: *
khawab takra kay palat jatey hain bandd aankhon say
janey kis jurm kee paaee hai sazaa shaam kay baad
[/QUOTE]
Dayar-e-Dil Ki Raat maiN ... Charaagh Sa Jala gaya
Mila NaheeN tou kia hua.... Wo Shakl Tou dikha Gaya :)
Aaj tow basabab udaas hai jee
Ishq hota tow koi baat bhi thee
[QUOTE]
*Originally posted by Minerva: *
Aaj tow basabab udaas hai jee
Ishq hota tow koi baat bhi thee
[/QUOTE]
yay
....
yeh fakhar to haasil hai achhey hain ya buray hain
do chaar qadam hum bhi teray saath chaley hain