Baitbazi

Yeh iskay pyar ke baatein faqt qisay purany hain
bahla kachay gahray pa kon darya paar karta hai

*Yeh alug baat hai keh nahee raha ab ehtbaar-e-mohabaat
Hain per ab bhi kuch loog be-loos mohabat nibhanay walay
Zamanay walay to apnay dukh-o-dard say maray jatay hain
or Irfan kuch hain huns kay dosroon ka ghum apnanay walay *

yeh mere nazar ka kamAl hai kay mere nazar ka jamal hai
tujhe sher sher mein souchna sar-e-bam-o-dar tujhe dohndna

Na tha na hai na ho ga koi bhi nabion men un jaisa
ba qadr-e-martaba her haal mein baad az khuda hai woh

hua mehmaan jab woh bargah-i-kibriai mein
Farishte bol uthe dilbari ki inteha hai woh

Hum sabar ke talqeen kiya kartay thay jis koo
Ab kay usay dekha hai tu ansoon nakal aya

*ai mere ham-nashii.n chal kahii.n aur chal is chaman me.n ab apanaa guzaaraa nahii.n
baat hotii gulo.n tak to sah lete ham ab to kaa.NTo.n pe bhii haq hamaaraa nahii.n *

Na dil say aah na lab say sada nakaltee hai
Magar ya baat bari door jaa nakaltee hai

*ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham *

Marne k baad bhee meri ankhein khulii rahieen
Aadat parii hoee hai tere intezaar ki

yeh kis gali main kis shehar mein nikal ayay
kahan pay reh gayen lagoon sadaqatein uske

mein barishon mein juda ho gaya hoon us say magar
yeh mera dil mere sansein amantein uske ... !!

Ye ajeeb khail hai ishQ ka mae ne ap dekha ye maujza
Wo jo lafz mere gumaN mein thay wo terii zubaN per aagaye

**ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
'Faraz' tujh ko na aa_ii.n muhabbate.n karanii

ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hame.n
shumaar abhii se judaa_ii kii sa'ate.n karanii**

yeh bhee mumkin hai rahoon aankh mai aansoo ke tarah
ye bhee mumkin hai kabhi yaad na aaon uss ko

*Wo mujh ko choorh gaya tu mujhe yaQeen aaya
Koii shaks zaroorii nahii hai kissi k liye *

reh gaya hai baqi

Na janey kaun sa zulm reh gaya hai baqi
woh duaa mangtay haiN meri zindgi keliyeh

Vey well said

[QUOTE]
Originally posted by HeArT HaCKeR: *
*Ye ajeeb khail hai ishQ ka mae ne ap dekha ye maujza
Wo jo lafz mere gumaN mein thay wo terii zubaN per aagaye

[/QUOTE]

*YE dil bura sahii sar-bazaar tu na keh
Aakhir tu is makaan mein kuch din tu raha hai *

yeh deikhtey hain kay kia hoga is ka rad-e-amal
tamam wadoon say apnay mukar kay dekhein gay

her aik shakas yeh kehta hai bahar-e-ulfat kay
bhanwar may doob tu layein phir ubhar kay dekhein ga...

*Ye haadsa shayad tujhe udaas ker de ga
K mere saath hee martii hai tere hijR ki shaam *

**maar hi Daal mujhe chasm-e-adaa se pahale
apanii ma.nzil ko pahu.Nch jauu.N qazaa se pahale

ik nazar dekh luu.N aa jaao qazaa se pahale
tum se milane kii tamannaa hai Khudaa se pahale.**