Baitbazi

ye teer-e-nazar ham ko manzoor to haiN phir kyoN
chhup chhup ke chalaate ho, aagaah nahiiN karte

na souchnay per bhi souchte hoon k zindagane mein kia rahay ga?
tere tamna ko dafan kar kay teray khailon say door jaa kay

sorry i didn't see ur reply "koidost" :) leemee think of another sher

[QUOTE]
Originally posted by koiDost: *
**ye teer-e-nazar ham ko manzoor to haiN phir kyoN
chhup chhup ke chalaate ho, aagaah nahiiN karte
*
[/QUOTE]

yeh hamare bad-nasebe nahi to aur kia hai
k uskay hoay hum jo na ho saka hamara

abhi se ulfat ke pech-o-Kham ko tu Khaak ‘Waseem’ samajh sakegaa
abhii junuuN kii bulandiyoN se zameen par tuu giraa nahiiN hai

yahi bahut hai ke dil us ko DhuuND laayaa hai
kisi ke saath sahii vo nazar to aayaa hai
karuuN shikaayaten takataa rahuuN ke pyaar karuuN
gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai

**ye kaun saa safar hai chale haiN ye ham kahaaN
manzil kaa kuchh pataa hai na raste kaa hai nishaaN

ik aag har taraf hai har ik simt hai dhuNvaaN
bas ye hai aadmii kii taraqqii kii daastaaN !!**

na mezaj abr-e-karm ka hai na elaaj barish-e-ghum ka hai
tere doste ko mein kia karo jo na dohp ke hai na chaho'n ke hai

**ye to nahii.n ke Gam nahii.n
haa.N merii aa.Nkh nam nahii.n

tum bhii to tum nahii.n ho aaj
ham bhii to aaj ham nahii.n **

Na janay konsa lamha chura ke lay jay
Mataa e gardish e doraan hay zindagi apni

Yoon he udas raha tu dekhna ak din
Tamam shahar main tanhiyan becha doon ga

adatan tun nay kar diyay waday
adatan hum nay eitaibar kia

teri rahoon main barha ruk kar
hum nay apna hi intezaar kia

ab na mangain gay zindagi yarab
yeh gunah hum nay eik baar kia

A

my all time favourite by Gulzar :teary1:

*oss pe kare Khudaa raham gardish-e-rozagaar me.n
apanii talaash cho.Dakar jo hai talaash-e-yaar me.n *

Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair joor na hoo ga

Aa ke abb tasleem kar lain tu nahi to main sahi
Kon manay ga keh hum main bewafa koi nahi

Ya judaiyoon kay rastay bari door tak gay hain
Jo giya phir na aya marai baat man jaoo

Woh shama ki lo thi keh woh tu maghar hijar ki shab
Dair tak rota raha koi serhanay meray

Ya he wafa ka sila hai tu koyee baat nahi
Jo dard tum nay diya hai tu koyee baat nahi

Yaad ayaa tha bicharrna taira
Phir nahi yaad keh kia yaad aya

Allah karay ka jahan ko mari yaad bhool jaya
Allah karay ka tum kabhi asa na kar sakoo

**woh utha rahey hain perda,sar-e baam chupkey chupkey,

koi qatel ho raha hey,sar-e aam chupkey chupkey.**