Re: BaitBazi New Rule Month of April
jab talak dur hyn to tare paristah kar layn
ham jisay chu na sakyn osko khuda kahtay hyn
Re: BaitBazi New Rule Month of April
jab talak dur hyn to tare paristah kar layn
ham jisay chu na sakyn osko khuda kahtay hyn
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**jaane kyon kund ho gayaa nashtar
zakhm kii dhaar to vahii hai abhii
alif/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Mein jub bhi post karnay lagta hoon aap beech mein tapak partee hain. ![]()
Re: BaitBazi New Rule Month of April
jhagra mat karain please :nono:
Yoon Bicharnaa Bhi Bahut Aasaan Na Thaa Us Say MagarJaatay Jaatay Us-Kaa Woh Mur Kar Dobaarah Daekhnaa
Re: BaitBazi New Rule Month of April
acha hi ,apko kitnay din pely mi nay APNA sha,r sunaya tha
apnay suna b nahi:emmy: time pass mi
osko dhunden.tareef karen ,phir promise AENDA nahe tapkon gi
Re: BaitBazi New Rule Month of April
link dein. ![]()
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**dekh to dil ki jaan se uthataa hai
ye dhuaan saa kahaan se uthataa hai
hey/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
wah kia baat hy link dein,yi ap ki saza hy khod dhunden time pass mi 2/3 din pechly page:faizy:
varna:nessy:
ap sha,r liknho mi abi tapki
Re: BaitBazi New Rule Month of April
youn galat tu nahichehroan ka tasur bhi magarlog waisay bhi nahi jaisay nazar atay hain
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**yuun uthe aah us galii se ham
jaise koii jahaan se uthataa hai
hey/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
yay alag bat je tu afsha na howa tu warnamaine tujhay kitna mehsos kiya teray baad
meri dukhti hoye ankhon se gawahaye lena
maine socha tujhay apnay se siwa tear baad
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**baad muddat unhen dekh kar yuun lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuuon ke gul muskuraane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa
gaaf/alif
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
“hay yaa yey”
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Hamari jaan par dohra azaab hai Mohsin kay dekhna nahi hum ko sochna bhi hai![]()
hey/ye
Re: BaitBazi New Rule Month of April
hamare ruh pay jab azab otray hyn
tomhare yaad ko es dil ki dhal hona hi
hey/yay
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**hazaar Ghum thay merii zindagii akelii thii
Khushii jahaan kii mere vaaste pahelii thii
tey/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**Yadon ki dehleez pe baithe pehron jis ko socha thauske jaane pe yaad aaya kia kia uss sey kehna tha**
**‘te’ alif’
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**aab un kee qabr pe jalataa nahin diyaa koi
ki jin kee dahar mein roshan bahut havelii thi
tey/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**YooN khoye tairi yaad maiN khud ko bhula diya**** jaisey k ham ko khud say koi waasta naa ho**
‘he’ wao’
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**voh dil hii kyaa tere milane kii jo duaa na kare
main tujh ko bhuul ke zindaa rahuun Khudaa na kare
kaaf/ye
**