Bait Bazi

Re: Bait Bazi

yehi dil tha k tarasta tha marasim ke liye
ab yehi tark e talluq ke bahane mangay

Re: Bait Bazi

yeh kahaN kii dostii hai k bane haiN dost naaseH
koii chaarah-saaz hotaa, koii Gham-gusaar hotaa!
**

a she'r by: chachaa Ghalib**

Re: Bait Bazi

ab is tarha bhi na yaadon ki kirchiyan chuniye
na tha firaaq se behter wisaal kya us ka?

Re: Bait Bazi

kiaa zaruurii hai k har parda uThaayaa jaaye
mere Haalaat apne apne makaaN se suniye!

a she'r by: Nida Fazli

Re: Bait Bazi

ye jo raat din ka hai khail sa, isay dekh, is pe yaqeen na kar
nahin koi aks bhi mustaqil sar e aayina, usay bhool ja

Re: Bait Bazi

Jab bhi dekha hai use tu khafa laga mujhe
Kya baat thi us mein jo sub se juda laga mujhe

Re: Bait Bazi

Mien Sach Kahun Gi AUr Phir B Haar Jaoon Gi
Wo Jhoot Bolay Ga Aur Lajwaab Kr Dy Ga

Re: Bait Bazi

go naamaabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko wo mere naam se pehchaan to gayaa

Re: Bait Bazi

ubhray jo koi chaap ,to jee uthay hian phir sey
her saans dam tortay, martay hoay khuch log

Re: Bait Bazi

gaye mousam mein jo khiltey thy gulaboN ki tarha
dil py utreiN gy wohi khawab azaboN ki tarha

Tuway / Badi Hay

Re: Bait Bazi

Husn e maghroor ka ye rang bhi dekha akhir
akhir un ko bhi kisi baat pe rona aya

Re: Bait Bazi

**aap jaisaa hii mujhe lagataa hai
Khvaab mein jis se milaa karate hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi

ham koi tark e wafa karte hain
na sahi ishq, museebat hi sahi...

seen-choti yay.

Re: Bait Bazi

Suna hai usko Mohobbat Duayein deti hai,
Jo Dil pe chot to khaye magar gila na kare.

Yeh theek hai nahiN marta koi Judai main,
Khuda kisi ko kisi se magar Juda na kare..

Qateel Shifai

Re: Bait Bazi

Ye kis tarha se hua, is tarha nahi hota
Ana ki baat thi, ham kaise poochte us se

Re: Bait Bazi

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahin
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahin

Muddatein Guzari Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamein,
Aur Hum Bhul Gaye Ho Tujhe Aisa Bhi Nahin

Moonh Se Hum Apne Bura To Nahin Kehte Ke,
Hai Tera Dost Magar Aadmi Achha Bhi Nahin...

Re: Bait Bazi

Na hai khirad ka kamaal koi, na hai karishma yeh bekhudi ka
Mai un nigaahon ki aad le ker ilaaj kerta hoon tishnagee ka

Re: Bait Bazi

**kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi
Main apne haath se uski dulhan sajaon gi

supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaongi
**
badan ke karb ko woh bhi samajh na payega
main dil main roungi aankhon main muskroungi

woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se rooth sakoungi kise manaongi

woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukhaoungii

bichaa diya tha gulabon ke saath apna wajood
woh sou ke uthe to khwaabon ki raakh uthaoungi

ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua
main kis ki nazam akele main gungunaoungi

javaz dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha ke main us ko bhool jaoungi

samaton main ghanay jangalon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaz sun na paoungi.

(Parveen Shakir)

Gaaf / choti ye

Re: Bait Bazi

ye kya ke tum hi gham e hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna kao us se

Re: Bait Bazi

Ye soch k gulshan mei chaley aaye subha hum. . . .
Wo phool sa chehra to gulabon mein miley ga.