Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

Wo apnay Zom mein bay-khabar raha mujh say.
Usay gumaN bhi nahi Main nahi raha uska.

alif

Re: Bait Bazi ..

Aap hi apni adaon pe zera ghor kerain
hum kuch arz kerain gay to shikayet ho gi
yeh

Re: Bait Bazi ..

*youn to her shaam umeedon pay guzar jate thee *
*aaj kuch baat hai jo shaam paay roona aya *

*"Alif" *

Re: Bait Bazi ..

utha di raat nai rukh say niqab ahistah ahistah
bus ubhera chahta hay mahtab ahistah ahistah
woh ek terz-e-takelum mehev hota hi nehi dil say
kisi nai khiltay daikha hay gulab ahistah ahistah

heh

Re: Bait Bazi ..

Har ek say beygana ban rahay hain kisi ki janib nazar nahi hai
Khabar woh rakhtay hain is tarah kay jaisay koi khabar nahi hai

Yeh

Re: Bait Bazi ..

Yeh na thee hamari qismat kay wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rahtay yehi intezar hota

Alif.

Re: Bait Bazi ..

Iss saraab-e-Rung-O-Boo ko GulistaaN samjhaa hai Tu?
Ahh! Aye naadaaN! Qaf's ko AashiyaaN samjhaa hai Tu?

-WoW

Re: Bait Bazi ..

Waqt say waqt ki kya shikayat karen
Waqt hi na raha, waqt ki baat hai
Us nay chaha mujhey, Usnay pooja mujhey
Us nay thukra diya, waqt ki baat hai

Y

Re: Bait Bazi ..

Yeh mujh main kuon mairay raat din sambhalta hai
Iss ikhtiyar say nikloon tu aur kuch soochon

Tumharay jism ki khushbo nay ker diya mehsorr
Iss aabshar say nikloon tu aur kuch soochon

Re: Bait Bazi ..

na hui gar mere marane se tasalli na sahi
imtihaN aur bhi baaqi ho to ye bhi na sahi

-Yay

Re: Bait Bazi ..

yeh sanyha bhi mohabat main barhaa guzra
kisi nay haal bhi pucha tow ankh bhar aai

Re: Bait Bazi ..

yeah mahroomi nahin, pass-e-wafa hay
koi teray siwa dekha na jayay
Yahi tou Ashna Bantay hain Akhir
Koi naAshna dekha na jayay

:bummer:

Re: Bait Bazi ..

yeh sha-haadat gahay ulfat main qadam rakhna hai
loug asaan samajhtay hain musalmaan hona

Re: Bait Bazi ..

Is dafa to barishen rukti hi nahi dostoN
Ham nay kya a'ansoon piyay kay saray mausam ro diyay

Re: Bait Bazi ..

**yadoon kay taslsul par koi bas nahin chalta
jab yaad kia tum ko kaha tak nahin pochye

shud b "YEH"**

Re: Bait Bazi ..

bohut khoob .. :k: ..

Re: Bait Bazi ..

Yaro kahan tuk mohabbet nibhaoun main
do bad dua k usay bhool jaoun main
suna hay ab woh ker reha hay kisi say wafa qateel
hayai zindegi kahin khooshi say na merjaoun main

noon

Re: Bait Bazi ..

Na gayee teri be-rukhi na gayee
Hum teri Aarzoo bhi kho bethay

Re: Bait Bazi ..

ye jo sargashta say phirtay hain kitaboon walay
in say mat mil, k inhain rog hain khuwaboon walay

"ye"

Re: Bait Bazi ..

ye meri Gazalain ye meri nazmain tamaam teri hikayatain hain
ye tazkirain teri lutf ke hain ye sher teri shikayatain hain

noon