Bait Bazi ..

Re: Bait Bazi ..

^^ yes

Re: Bait Bazi ..

tum he kaho yeh, chor day jub zindage sath
phir moot ko galay na lagaoo to kia karo'n


:NOON:

Re: Bait Bazi ..

na khulay girah bahnwar ke na milay nishan-e-sahil
tera kia banay ga aay dil! tera kia banay ga aay dil!

"Lam"

Re: Bait Bazi ..

lagayay hain hum nay bhi sapno'n kay poday
magar kia bahrosa yahaan barisho'n ka
:ALIF:

Re: Bait Bazi ..

us ka ghar rah mein aiay tu wahien ruk jana
dajla-e-dard tujay teri rawaani ke qasam

"Meem"

Re: Bait Bazi ..

main nay suna hai unko andehray nahi pasand
raho main ab mein dil na jalao'n to kia karo'n

Re: Bait Bazi ..

na tum barbaad kartay is terha meri tamna ko
na mien ilzam daita apni nakami pay dunya ko

“WoW”

PS:- me out now
i m going to meat my ami abu
and i will b back after 2 days INSHALLAH
ALLAH HAFIZ :wave:

Re: Bait Bazi ..

^ okay see you after two days inshAllah. Take care and Allah Hafiz =)


Who lamha kitna ajeb tha jub hamarw ankhein galay mile the`n
Mein kis trha ab mohabbaton ke sekastage kay azab likho`n


:NOON:

Re: Bait Bazi ..

*
na tha masla kissi jeet ka na kissi haar ki baat thii
mere aetbaar ka maamla tere ikhtyaar ki baat thii
koii justujo bhee nahi rahii mgr ab sukooN bhee na raha
wo jo be-QaraariyaaN de gaya wohii tu Qaraar ki baat thi
*

Re: Bait Bazi ..

yahaN ik lamhey ke parrao meiN merey sarey phool jhulas gaey
ab jahaaN talkhioN ki tappish na ho mujhey us fiza ki talaash hey

:YEH:

Re: Bait Bazi ..

** ^ :k:

Ye tumhari kaj-adaa`ieN koi seh kay tou dikha dey
ye jo hum maiN tum maiN nibaah hay merey hosley ka kamaal hay
**

Re: Bait Bazi ..

Yoo'n dil ko har ik shahs pe waara nahi karte
aankhoa'n mei har ik aks utaara nahi karte
Kajal se bhi ab koi kaam lo na saheli
yoo'n dard se aankhao'n ko sanwara nahi karte

Re: Bait Bazi ..

**
Ye mohabbet bhi kya roog hay ~Faraz~
jis ko bholey woh sada yaad aaya
**

Re: Bait Bazi ..

Itni mazbooti se veeraney ke darr band huey
dil mei utri na koi zaat teri zaat ke baad

Re: Bait Bazi ..

Dil kay tut janay per ab malal kiya karna
patharon ki basti main ainay tu tuthein gay


:YEH:

thanx vivlay hug

Re: Bait Bazi ..

**
Ye dukh nahiN keh andheroN se sulaah ki hum ne
malaal ye hay keh ab subah ki talab bhi nahiN
**

Re: Bait Bazi ..

Na ye shabnam hain na bikhray huway taroon ka hajoom

Raat ki laash pay tapkay hain saher kay aansoo

Wao''

Re: Bait Bazi ..

**
Woh bay-hisi hay musalsal shikast-e-dil se ~Muneer~
koi bichaR kay chala jaaye gham nahiN hota
**

Re: Bait Bazi ..

Atay Atay mera naam sa rah geya
Usskay honton peh kuch kaanpata rah geya
Wuh meray saamnay hi geya aur meiN
Raastay ki tarah dekhta reh geya

Alif''

Re: Bait Bazi ..

Ander lagi thee aag magar be-khabar they log
jalty howy makan k bahir dhowaN na thaa

Alif