Bait Bazi - September 2013

Re: Bait Bazi - September 2013

garmi e hasrat e nakaam se jal jaatay haiN
Ham ChiraghoN ki tarah shaam se jal jaate HaiN

Hay/Noon

Haroon Ahmad

Re: Bait Bazi - September 2013

oh no, plz don't, don't

Re: Bait Bazi - September 2013

**Na-Jaany kon Sa Aansoo kissi Say kia Kah Day

Hum Issi khiyal Say Nazar Jhukaye Baithy Hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - September 2013

hum bhi chuntay thay seepiyan aksar
hum bhi maqrooz hain samandar kay

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - September 2013

koi phool chunta hai kis terah ,koi dhool hota hay kis terah

yeh watq waqt ki bat hay ,tujhay zindage bataye gee

Re: Bait Bazi - September 2013

**Gair kyaa jaaniye kyon mujhako buraa kahate hain
aap kahate hain jo aisaa to bajaa kahate hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - September 2013

hasti hi kiya hai api zamane ke samne
ek khwab hain jahan main bikhar jaen hum to kiya

kaaf/alif

Re: Bait Bazi - September 2013

**andherii raat mein jab chaand khilane lagataa hai
tumhaare pyaar ke diipak jalaake rotaa huun
tumhaare aane kii jab aas jaane lagatii hai
main in chiraagon ko Khud hii bujhaa ke rotaa huun

hey/noon**

Re: Bait Bazi - September 2013

**najane kab tha kahan tha mager yeh lagta hai
yeh waqt pehle bhi hum ne kabhi guzara hai

he/ ye
**

Re: Bait Bazi - September 2013

***Hum bharay shahar main tanha to nahi thay lakin*
**Koi rishta na mila phir tairi chahat jaisa

jeem/alif****

Re: Bait Bazi - September 2013

jo sehraa main uRtay parindoN ko dekhaa
milaa ik nayaa walwalah chaltay chaltay

chay/ye

Re: Bait Bazi - September 2013

**chaandanii raat mein chaand ke saamane
rukh se pardaa hataanaa Gazab ho gayaa
chaandanii chhup gaii chaand sharmaa gayaa
aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

gaaf/alif**

Re: Bait Bazi - September 2013

gardish-e-waqt bhi aagay mujhay lejaa na saki
tum jahan chhoR gaye thay main wahin hun ab tak

tay/kaaf

Re: Bait Bazi - September 2013

Kabhi Kaha Na Kisi SE TerE Fasane Ko
Na Janey Kaisey Khabar Hogaye Zamaney Ko

kaaf / wao

Re: Bait Bazi - September 2013

**kab yaad mein teraa saath nahin kab haath mein teraa haath nahin
sad shukr ke apani raaton mein ab hijr kii koii raat nahin

Noon **

Re: Bait Bazi - September 2013

**najane kab tha kahan tha mager yeh lagta hai
yeh waqt pehle bhi hum ne kabhi guzara hai

he/ ye
**

Re: Bait Bazi - September 2013

**hum mashriq ke musalamaanon kaa dil magrib mein jaa atakaa hai
wahaan kuntar sab billorii hai, yahaan ek puraanaa matakaa hai

hey/ye **

Re: Bait Bazi - September 2013

ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin
ai kash kabhi tum jan sako jo us sukh ne azar diya

daal/ alif

Re: Bait Bazi - September 2013

Aik Jheel Hay Aankhon Main Jo Aabad Bohat Hay

Sadyon Say Yoon Hi Ronay Ko Teri Yaad Bohat Hay

Re: Bait Bazi - September 2013

humsafar chhaiye hajoom nahin
ik musafir hi qafila hai mujhe

meem/ ye