yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai
karuu.N shikaayate.n takataa rahuu.N ke pyaar karuu.N
gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai
ye be agar khata hay, to bay shak khata hoi
apna samjh kay tujh ko, pukara kabhi kabhi
"yey"
ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
yaad is ki atni khoob nahi, meer baaz aa
nadaan phir wo ji say bhulaya na jaiy ga
"alif"
aap zulfay janan kay khum sanwariyae sahib
zindagi ki zulfoan ko aap kiya sanwarain gay
yeh saqi nigahain teri Allah Allah
ke pee bhe nahi our khumar aa gya
guys, may be u should open a new thread for this now. this one is long enough already.
aaj ham bichha.De hai.n to kitane rangiile ho gaye
merii aa.Nkhe.n surKh tere haath piile ho gaye
yun to mernay kay liyay zhar sabhi petay hain
zindagi, teray liyay zhar piya hay main nay
Yeh soch lo ab aakhri saya hai muhabbat
Is dar se uthoge tu koi dar na milega
Phir yaad bahut ayegi zulfoon ki ghani shaam
Jab dhoop mein saya koi sar per na milega
ab dekhiye kis kis pe tere gham ka karam ho
warna teri chaahat ke gunahgaar to sab hain ;)
Na to gham ki dhoop jala saki na to mausmoon ka asar huwa
Woh meri wafa ka phool tha jo abhi talak hai khila huwa
Meri baat aur hai, choriye main aaseer-e-jazbah-e-ishq hoon
Zara apne dil ko bhi dekhiye yeh bataiye, ise kya hua
Ab nam e mohabat par ilzam tu aya hai
Tum jo behi saza doo sir hum nay jhukiya hai
oops
Sorry i didnt knew that ...
ye udaas udaas se baam-o-dar
ye ujar ujar si rah guzar
chalo hum nahi na sahi nagar
sare koye yaar koi to ho..
wo door ho tou baja tarke dosti ka khiyal
wo samne ho tou kab ikhtiyar apna hai
yeh alag baat keh ta'meer na honay paiy
warna har zhan main kush taj mahal hotay hain
Na Khuda he mila na wasalay sanam
Na idahar kay rahay na udhar kay
dilsay, yaar this shair was alreay posted here, but abyway.
ye keh kar sitam gar nay zulfon ko jhatka
bohot din say dunya praishan nahi hay
Ye alaG baat hai ke ta'ruf na ho saka
Varna ham zindagi ke saath bohat duur tak chaley.