Bait Bazi Part---LXI

[quote]
Originally posted by Amal:

**

**
Ye sardioN ka udaas mausam ke dharkaneiN barf ho gai heiN
jab un ki yakh'bastagi parakhna to tamaazateiN bhi shumaar karna
tum apni majboorioN ke qissey zaroor likhna wazaahatoN sey
jo meri aaNkhoN mein jal bujhi heiN wo khuwahisheiN bhi shumaar karna

**
[/quote]

agar-e-chay turak-e-marasam ko ab daieR huwie
ab be wo meRi ijazaat se mujhaY soochta hai

kitna khush faham hai wo shakas k haR moasam maiN
ik nayae rukh naye surat se mujhaY sochta hai


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

**

Ye khush-nazri khush-nazar aaney ke liye hey
ander ki udaasi ko chupaney ke liye hey
meiN saath kisi ke bhi sahi paas hoon terey
sab dar bad-dari aek thikaney ke liye hey

"ye"


MeiN pal do pal ka shaer hooN...

yoon gumaan hota hai garche hai abhi subah-e-Firaq
Dhal geya Hijr ka din Aa bhi gai WasL ki Raat


"If you belong to Allah,rest assured that Allah will indeed belong to you".!

Tumne jhooTe kar diye meri tammanaaoN ke kHawaab
Kaash maiN bhi younhi de sakta barabar ka jawaab

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/mad2.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

*bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
ham ek umr se vaaqif hain ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai *

[This message has been edited by Masoom Muskaan (edited July 21, 2002).]

[quote]
Originally posted by Masoom Muskaan:
***bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
ham ek umr se vaaqif hain ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai *

[This message has been edited by Masoom Muskaan (edited July 21, 2002).]**
[/quote]

** Yeh Dastoor-e-ZubaaN-bandi hai kaissa teri Mehfil meiN
Yahaan to baat akrne ko tarasti hai ZubaaN meri**

yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale

PS:-khekhekhe ISHaaro.N say baat karnie chaHiyay
phir tou

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

**


Ye khuley khuley sey gesu inhey laakh tum sanwaaro
merey haath sey saNwartey to kuch aur baat hoti

"ye"


MeiN pal do pal ka shaer hooN...

damn. again ye

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/mad2.gif

ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
tere jamaal kaa paratau nigaah me.n hotaa
kabhii sabaa se kabhii gul se guftaguu karate

Yeh kaih akr Barq ne mere Qafas ko Phoonk diyaa
keh tune Shakal badal di hai Aashiyaane ki

yehi nahi k mujhaY he toaR kar gaya hai wo
usaY be daiR talaK khuud joRna ho gha


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**

yehi nahi k mujhaY he toaR kar gaya hai wo
usaY be daiR talaK khuud joRna ho gha

**
[/quote]

Aaaya hi thaa kHaiyaal keh AaankheiN cHalak gaiN
Aaansoo kissi ki Yaad se kitne Qareeb they

**

Ye kya huwa ke bharey aasmaaN ke aaNgan sey
bicharr gaya jo sitaraa hamarey naam ka tha

"alif"


MeiN pal do pal ka shaer hooN...

aaNkh meiN aaNsuu jaRe the par sadaa tujhako na di
is tavaqqo par ki shaayad tuu palaT kar dekhta
meri qismet ki lakireiN mere haathoN meiN na thiN
tere maathe par koi meraa muqaddar dekhta


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

**


Ab khushi hey na koi ghum rulaaney waala
hum ney apnaa liya har rung zamaaney waala

"alif"


MeiN pal do pal ka shaer hooN...

aa'na parast hai itna k baat se pahlaY
wo uthe kaR band meRi haR kitaab day gha

[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**

aa'na parast hai itna k baat se pahlaY
wo uthe kaR band meRi haR kitaab day gha**
[/quote]

Aye Dil tujhe ronaa hai to Jee khol ke ro le
Duniyaa se na barh ker koi Weeraanaa mile gaa

**


Un ko gharoor-e-husn hey, mujh ko saroor-e-ishq
wo bhi nashey meiN choor heiN, meiN bhi peeye huwey

"ye"


MeiN pal do pal ka shaer hooN...

ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaaN hai
qatare meiN samandaR hai zarre meiN bayabaN hai
ai paikar-e-mahabubi maiN kis se tujhe dekhuN
jis ne tujhe dekhaa hai vo diidaa-e-hairaaN hai


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**

ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaaN hai
qatare meiN samandaR hai zarre meiN bayabaN hai
ai paikar-e-mahabubi maiN kis se tujhe dekhuN
jis ne tujhe dekhaa hai vo diidaa-e-hairaaN hai

**
[/quote]

Yaad uski itni kHoob nahiN Meer baaz aaa
NadaaN phir wo jee se bhulaiyaa na jaigaa