Amal
July 16, 2002, 6:54pm
201
Beautiful
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
**
tamannaaoN ke behlaave mein aksar aa hi jatey heiN
kabhi hum chott khaatey heiN kabhi hum muskuraatey heiN
kisi ke saath jab beetey huwey lamhoN ki yaad aati hey
thaki aaNkhoN meiN ashkoN ke sitarey jhil’milatey heiN
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif
MeiN pal do pal ka shaaer hooN…
Na hoga is se ziaada JahaaN meiN Andheraa
Keh Dost Dost ko dekhe magar na pehchaane
(zulfiqaar ali bukHaari)
(yey)
*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*
[quote]
Originally posted by Amal:
Ye kya maqaam-e-shaoq hey na aas hey na yaas hey
ye kya huwa ke lab pe tera naam aa ke reh gaya
"alif"
**
[/quote]
** Ik Mataa-e-dil-o-JaaN paas thi so haar chuke
Haaye yeh Waqt keh ab kHud pe giraaN haiN hamlog**
(Obaid-ullah-Aleem)
( Gaaf)
*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*
[quote]
Originally posted by nikammi jano:
"noon"**
[/quote]
** Na kissi ka ho sakaa hoOn na kissi ka ho sakooNga
keh tabaah kar chuki hai mujhe meri kud-pasandi**
(alif)
[This message has been edited by Tassneef (edited July 16, 2002).]
sorry pata nahi tha sab aik dum he "G" se kar dain gain
aa_ii na phir nazar kahiN jaane kidhar ga_ii
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga_ii
~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~
maiN ne edit kar diyaa thaa
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif
ab? issi tarah aage chalene deiN?
Yeh arzoo thi tujhe gul ke roo-baroo karte
ham aur gul-e-betaab guftagoo karte
yey
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**
ye kaun aa gayaa meri bazm-e-Khayaal meiN
puuchaa mizaaj kisane dil-e-soGavaar kaa
**
[/quote]
AakHir ussi ne tujh per nicHaawar kiya lahu
Wo shakHs jisko apnaa tu gar-daanta na thaa
(alif)
*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*
[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**
aap meiN gum haiN magar sab kii Khabar rakhate haiN
ghar meiN baiThe haiN zamaane pe nazar rakhate haiN
**
[/quote]
** Na maanooN ga Naseehat, par na suntaa to main keya kartaa
Keh har har baat mein Naseh tumhaara naam letaa tha**
(alif)
[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**
ye soch kar ki terii jabeeN par na bal pareY
bas duur hii se dekh liyaa aur chal paReY
**
[/quote]
YouN kis tarah kaTay ga karhi dhoop ka safar
Sar per kHayaal-e-yaar ki chaadar hi le chaleiN
(Nasir Kazmi)
(NooN)
*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*
yeh to mohabbatoN ki maang thi jo tujhe zindagi ka laqab diya
is sodey ke aevaz sanam meiN ney kab maaNga tha samar koi
"If you belong to Allah,rest assured that Allah will indeed belong to you".!