Bait Bazi Month of September, 2008

re: Bait Bazi Month of September, 2008

*Diya Hii Jab Nahii hOga Hawa Kis kO bUjhaaye Gii
Charagh e Raah Main Ab Key jAla Key Hii Nahi Aaya *


"Alif"

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Aankhon ki dehleez pe bhadoon toot ke barsa raat gaye
yadon k guldaan mein jitne phool thay ab tak geele hain

Noon

Naya mousam meri benaii ko tasleem nahiN
Meri aankhooN ko wohi khwaab purana la day
Jis ki ankhaiN mujhay ander say bhi parh sakti hooN
Koi chehra to meray shehr maiN aisa la day

"" Yay ""

re: Bait Bazi Month of September, 2008

yahan kissi ko kabhi hasb-e-aarzoo na milaa

kissi ko ham na mily aur koi hamen na milaa

alif


ek ishq ka gham afat aur us pay dil afat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota

Alif

re: Bait Bazi Month of September, 2008

ab aur kiya kissi sy marasim barhaay ham

ye bhi buhut hy tujhko agar bhool jaaen ham

meem

MohobbatooN kay yay dariya utar na ja'aiN kaheen
Jo dil gulab haiN zakhmooN say bhar na ja'aiN kaheen
Jhalak raha hai jin aankhooN maiN ab wajood mera
Yay aankhaiN ha'ay yay aankhaiN mukar na ja'aiN kaheen

" Noon "

re: Bait Bazi Month of September, 2008

na men tum say koi ummeed rkhkhon dilnawazi ki

na tum meri taraf dekhuu ghalat andaaz nazron sy

ye

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yeh jo chaar din ke loug hain inhein Faraz koii kiaa kahay..
wo shikayetein wo hikayatein hamain jin se thin koi aur hai

Yeh

Yeh mUhabbat Bhi Kya rOug hAi Faraz
Jis kO bhOoley wO Sada Yaad Aaya

"Alif"

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Usko tou kabhi mujh se mohabbat hi nahin thi
yehh khail tou duniya ko dikhane ke liye thaa..

Alif

Apna Dil Hii Apni Tabahii Ka Sabab hOta hAi
Yeh Jawaanii Ka Zamana Bhi AjAb hOta hAi
Jaaney Kis Baat Ney Dil tOr Diya Kis Ka
bOlney Waaley Ko AhSaas Hii Kab hOta hAi


"Yee"

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Ye Kashmakash Alag Hai Ke Kis Kashmakash Main Hoon
Aata Nahin Samajh Buhat Sochta Hoon Main

'Noon'

re: Bait Bazi Month of September, 2008

na janaa thaa meri kuddariyaan khu dengi tujhy

men kiyaa karoon k mujhy maangny sy nafrat hy

ye

YouN ghalat to nahiN chehrooN ka tasur mager
Log vaisay bhi nahiN jaisay nazer aatay haiN

" Noon "

Nishaan e SajOod Teri JabeeN Par hUa tO Kya
kOi Aisa Sajda Kar K ZameeN Par NishaaN Rahey

"Yee"

re: Bait Bazi Month of September, 2008

ye ghazab kiyaa teri yaad ny mujhy aasatayaa namaaz men


mery wo bhi sajdy qazaa huy, ju adaa huy thhy namaaz men


noon

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Na ab raqeeb na naseh na gham'gusaar koii
tum aashna thay tou thin aashnaiyan kia kia

Alif

Ailan-e-marg hoa to us nay bhi keh diya mohsin
Acha hoa mar gaya akser udaas rehta tha

" Alif "

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Abb jou bichra tou kia royenn judaaii pey tairii..
ye andaisha tou haimain pehli hi mulaqat se tha

Alif