Bait Bazi Month of May 2008

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Gham e dUniyay Gham e Uqba Gham e dOraaN Gham e dOst
Jis Jaga Main hOn Frishta hO tO PaGel hO jAaye

Yee

Re: Bait Bazi Month of May 2008

ye zara zara sy gunaah par hen trah trah k azab kiyon?

jisy kar k mujhko saza nahu mujhy us khuda ki talash hy

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yahii Un Kii tAmAnA hAi tO rOna ChOr Daitey hAin
Yeh Qissa hUm Ney Chaira hAi AdhOora ChOr Daitey hAin
Agar Un Ki tAmAnA hAi tO Dil Par Jabr Kar Key hUm
jO Un Key Ghar kO jAta hAi wO RaSta ChOr Daitey hAin

Yee

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Ye Masaa'il-e-Tasawwuf Ye Tera Bayaan Ghalib
Tujhe Hum Wali Samajhtay Jo Na Baada'Khuaar Hota

'Alif'

Re: Bait Bazi Month of May 2008

ab nez,a aalam hy mujh par tum apni muhabbat wapes lu..,

jab kashti dobny lagti hay, tu buojh utaara karty hen.........

noon

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Nigah-e-Mard-e-Momin Se Badal Jaaati Hain Taqdeerain
Jo Ho Zoq-e-Yaqeen Paida To Cut Jaati Hain Zanjeerain

'Noon'

Re: Bait Bazi Month of May 2008

nazakat nazneeno ko sikhane se nahi aati
khuda jab husn deta hai nazakat aa hi jati hai

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yeh daikho phir se aa gayiin pholon pe titliyan
aik rozz woh bhi aaye ga afsoos matt karro...

wao

Re: Bait Bazi Month of May 2008

wo kesa shakha hy k har roz saza deta hy
phir hansata hy wo itna k sab bhula deta hy

Re: Bait Bazi Month of May 2008

**
Yeh ZindGii Kay MaSaib Yeh HadSOn Ka HajOom
Eik Aisa KarwaaN hAi Jis Ka Ameer kOii Nahien
**
nOon

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Nazuki Uss Ke Lub Ki Kia Kaheay
Pankhari Ek Gulaab Ki Si Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yeh Nahien K Rah Mein jO Milay Usay hUmSafar Hii BanaOn Main
jO tAmAm Umr NiBha Sakay wO RafaQatien Meray Sath hOn

nOon

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Nazuk mizaaj logg thay hum, jaise aa'iina...
tootay kuch iss tarah k sada b na kar sakay

Yeh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

yahi hai na tumhe hum se bichar jane ki jaldi hai
kabhi milna tumhare masle ka hal nikalen ge

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Yeh sachh sahii k banay thay tum jeene ki wajeh
magar daikho nikla qismat ka faislah alag aaj bhi

Yeh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

yun to har baat pe kehte ho tum k tu kia hai
tumhi kaho k ye andaaz-e-guftagu kia hai

Re: Bait Bazi Month of May 2008

yaad-e-mazi azaab hy yarab

chheen ly mujh sy hafeza mera

alif

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Aey dil na aaqebatt andaish zabt-e-shauq karr
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-deedar-e-dost

Tay

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Tune Kaha Na Tha K Mein Kashti Pe Boojh Ho
Aankho Ko Ab Na Dhamp Mujhe Doobta Bhi Dekh

Re: Bait Bazi Month of May 2008

Hassrat haii tujhe saamne baithay kabhi daikhon
main tujh se mukhatib hon taira haal bhii puchon
puchon kabhi ghanchon se sitaron se hawaa se
tujh se hii magarr aa k tairaa naam na puchoon..

Noon