Bait Bazi Month of July 2008

NaQOosh dhUndla Gye hAin Jis Key Khyaal Jis Ka dhUwaan dhUwaan hAi
wOh Zard PattOun Key kOrey KaGhaz Pey Likhii kOii MiSaal hOga


"Alif"

Ab aye meray ehsas-e-junooN kia mujhay dena
Darya usay bakhsha hai to sehra mujhay dena
Ek dard ka mela keh laga hai dil-o-jaaN maiN
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhay dena

"Alif"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Apna Kaam Hai Sirf Muhabbat Baaqi Uss Ka Kaam
Jab Chahay Wo Roothay Hum Se Jab Chahay Mann Jaye

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of July 2008

yaad-e-maazi azaab hy yaa rab...


chheen ly mujhsy haafeza meraa


alif

Re: Bait Bazi Month of July 2008

oss k honton ka tabassum rahy qaaem yaarab...!
oss k jeewan men too khushyon ka basera kardy
too mery karb ki raaton ko bhaly khatm na kar....
oss ki har raat k aakhir men sawera karday........!!


ye

Re: Bait Bazi Month of July 2008

^ yeh Aankhain khulee rahain gee mernay k bad bhi

*inhaaiN adat se ho gayee hay INTIZAAR ki *

yeh

Yeh Pehlay Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na hO Jaana
Usey Chooney Ki Khwaahish Mein Usey Paaney Ki kOshish Mein

"nOon"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Na Rahnuma'on Ki Majlis Main Le Chalo Mujh Ko
Main Be'Adab Hoon, Hansi Aagai To Kia Hoga

'Alif'

ik banda na farmaan hay hamd sarra tayra
go sab se moqadam hay haq tera ada karna
"alif"

**apnay malboos kay payvand chupana mushkil **
hogaya mahfil-e-ahbab may jana mushkil


''laaam''

Re: Bait Bazi Month of July 2008

laakh kary wo zabt ka dawa,waqt-e-rukhsat sab bekaar


aankhen chaahy ruen na ruen,kaajal runy lagtaa hay...


yee

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Ye Aana Koi Aana Hai Ke Bus Rasmann Chalay Aye
Ye Milna Khaak Milna Hai, Ke Dil Se Dil Nahin Milta

'Alif'



ab b ojhal hai nigaho'n se nishan-e-manzil
zindagi tu hi bata kitna safar baqi hai

**
"ye"
<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi Month of July 2008

yOn Hii Hans Daina tO Aadat hAi Puraani Apnii
Kitni Dil e Nashaad hAi NaShaad Jawaani Apnii

"Yee"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye aur baat k lab thy wo phool sy naazuk

koi na sehsaky,lehja karakht esaa thaa...

alif

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Apnay Halaat Ka Bhi Ehsaas Naheen Hay Mujhko MOHSIN
Mainay Auroon Say Suna Hay Keh Parayshaan Hoon Main

Noon

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Narm hOnton Mein Dabbi Baat Dabbi Rehnay dO
rOop LafzOn Ka Bharey Gii tO Bikhr Jaaye Gii

"Yee"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

yuon tu milny k thikaany hen buhut...

tum na chaahu tu bahaany hen buhut

tay

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Teray Gham e Firaaq Mein Tarpa hOn Is Qadar
**Shabnam kO Apney Saath Rulaata Raha hOn Main **


"nOon"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

na etebaar-e-muhubbat,na ikhtiyaar-e-wafa

koi jafa ko bhi tery taras rahaa hugaa...........

alif