Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Reza Reza Kabhi Hongay Sapne Hamaray
Iss Tarah Se Kabhi Hum Ne Socha Na Tha
'Alif'
(Ahmer)
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Reza Reza Kabhi Hongay Sapne Hamaray
Iss Tarah Se Kabhi Hum Ne Socha Na Tha
'Alif'
(Ahmer)
Re: Bait Bazi…Month of Feb…2008
Oye yahan apne shair dayna mana haii.. ![]()
Aankhon se barra koi musawwir nahin Abid’
ashkon se jo jazbat ki tasveerr bana dayy
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yuun To Ashkon Se Bhi Hota Hai Alam Ka Izhaar
Haye Wo Dard Jo Tabassum Se Ayaan Hota Hai
'Ye'
PS: mere sher ki tareef q nahi ki :ASA:
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yaadon ki goonj dasht-e-muhabbat mein ab b hai
Yeh dill gaye dinon kii rafaaqat mein ab bhi hai...
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ye Ghazi Ye Teray Pur'Israar Banday
Jinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zoq-e-Khudai
'Ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yoon dekhna ke tootay na rishta nigah ka..
ek baar dekhne mein woh sow baar dekhna
Alif
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judai Ki
Aaj Uss Se Pehli Baar, Mainay Be'Wafai Ki
'Ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yeh zamaana tou bass bahaana thaa
ham sey honaa hi thaa judaa uss ney
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yuun Bhi Nahi Ke Meray Bulanay Se Aa Gaya
Jab Reh Nahi Saka To Bahanay Se Aa Gaya
'Alif'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ik taraf lehjay kikhushboo'ik taraf lafzou_n ke phool
Mousm_e_pat jher mein fasl_e_gul ka sama_n ker dia
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ek muddatt sey maire dill kaa mehwar tu hai
ek muddat sey maire dill ke andarr tuu haii..
main taire pyar ke sahill pay khari hon tanha
mairi chahat ka mairi ulfat ka samandar tu hai
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
YE AHL-E-DARD BHI KIS KE DUHAAI DAITAY HAIN
WOH CHUP BHI HO TU ZAMANA HAI HUMNAWA ISKA (
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Iss tark-e-rafaqat pe pareshan tou hon laikin
ab tak keh taire saath pe hairat b bohat thii
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh bhi ho ga woh mujhe dil say buhla day ga magar
yuun bhi ho gaa khud usei may aik khala reh jayay.
"Yeh"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yaadon ka aik jhonka aya hum se milne barson bad
pehle itna roye nahin thay jitna roye barson baad..
dastak ki umeed lagaye kab tak Qaisar jeetey hum
kal ka waada karne wale milnay aaye barson baad
Daal
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
dam-e-wapsi yeh kia hoaa, na woh roshni, na woh tareeki
woh sitaray kesay bikhar gaya, woh toh aap apni misaal tha
"Alif"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ussey gilaa rahaa keh tawajjeh naa dii usse
laikin hamain to khud apni rafaqat nahin mili
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-e-Yaar Hota
Ager Aur Jeetay Rehtay Yehi Intezaar Hota
'Alif'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Aik dil ka dard tha jo raha zindagi ke saath
aik dil ka chain tha jo sada dhoondte rahey
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo Batain Na Banao Insha'Jee
Ye Sheher Tumhara Apna Hai Isay Chhor Na Jao Insha'Jee
'Ye'