Bait Bazi Month of April, 2008

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

*Ajab hAi Yeh Lutf e ZamaaN K Qadam Qadam Par AasmaaN
yOn Ban Kar Kaii Zaib e Sehar Phir KhO Gaye hAin ghUbaar Mein *


nOon<!-- google_ad_section_end --><!-- / message --><!-- sig -->

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na Muhubbat Na Dostii K Li'ay
Waqt rukta Naheen Kissi K Li'ay
Har Koi Pyaar Dhoondta Hay Yahan
Apni Tanhaa Si Zindgee K Li'ay

Yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yadon ko sajo k rahna yeh haque hai mera
mazi main meray jhank k inhay brbad na karo

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

wo mujhay zindagi samajhta hay....

kiya ossy mera etebaar nahin.........?

noon

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

*na haaraa hai ishq na duniyaa thaki hai *
*diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai *

"yay"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Bus aik zid hai jesay datay hain pani
warna apnay ashiqany koon say hain
woh zulfain hona bhe chahin pareshan to kya
apnay pass shannay kon say hain

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yeh jo sargashta say phirtay hain kitaboon walay
inh say maat mil inhain roog hai khawboon walay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

*Ya meri talaash ka jurm hai,
ya meri wafa ka kasoor hai,
jo dil k jitney karib hai,
Woh nazar se utna hi door hai. *

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yaad rakho to dil ke pass hain hum
bhool jao to fasslayy hain bohatt...

Tay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

tha us ka woh barf sa bartaow mairay sath
kehnay ko wahaa'n garmi-e-mehfil bhi wohi tha


ham aap kay apnay hai'n woh kehta raha mujh say
aakhir ko saf-e-aghyar mai'n shamil bhi wohi tha


woh baat alag hay, maira qatil bhi wohi tha
iss sheher mai'n tareef kay qabil bhi wohi tha !

"alif"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ana ki ked se nikle muqaabla to kare
wo mera sath nibhane ka hosla to kare
kabhi na totne wala hisaar ban jaon
wo meri zaate men rehne ka faisla to kare.

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yahan ik lamhe ke paroon mein, mere saare phool jhulas gaye
ab jahan talkhioon ki tappish na ho, mujhe uss fizza ki talaash hai


"ye"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ya tera tazkra karay har shakhs


ya koi ham say guftugo na kary


ye

Re: Bait Bazi Month of April, 2008


ye diN ye raat ye lamhay mujhay achay say lagtay haiN
yumhaiN sochoon to saray silsilay achay say lagtay haiN
bohat door tak chalna magar phir bhee waheeN rehna
mujhay tum say tum hi tak dairay achay lagtay haiN

"noon"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na Jaana Aaj Tak Kiya Shay Kushi Hay
Humari Zindagee Bhii Kiya Zindagee Hay
Muhabbat Main Kabhi Socha Hay Youn Bhi
Keh Tujh Say Dosti Ya Dushmanee Hay

yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye asr-e-nu kisi miqdaar pr nahi qaadir...............

laga hu dher sem-o-zar hy dast-e-benawa kishkol

laam

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Laa Kay Daryaa Nay Bhi Saahil Pay Humain Choor Diya
Hum Nay Chahaa Tha Kinaroon Say Kinaraa Kar lain

NooN

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na khata hai doston ki na qasoor hai tumhara
Mujhey rah-e-dosti main mari sadgee ney mara

"Alif"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ankh kisi k chehre par dil men dehan kisi ka
hum b kia hen baat kisi se wehm o guman kisi ka

wo to kuch auron ki khatir b jeena tha warna
rooh men ab tak phel gaya hota sartaan kisi ka

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aankhon main raha dill main utar kar nahi dekha
Kashti k musafir nay samdar nahi dekha

"Alif"