Bait Bazi Month of April, 2008

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

^ Nice Shair… :chai:

Mairaa azm itna buland hai ke paraye sholon ka darr nahin…
mujhe khauf atish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye tishnigi ka safar ab khatam nahi hutaa

koi bala koi aaseb meri raah men hay......

ye

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

یہاں تو سب ہی ستم دیدہ وغم گزیدہ ہیں
کرے گا کون بھلا زخم ھاۓ دل کا شمار ؟

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

i think the last word is R,

Rutoon ke saath dil ki wo haal-tien bhi gayien
Hawa ke sung, hawa ki amaan-tien bhi gayien
Tere kahey huyey lafzon ki raakh kya cherien
Hamarey apnay kalam ki sadaaq-tien bhi gayien
Ajeeb more pe tehra hai kaafla dil ka,
Saqoon dhoondnay niklay thay, wehshatien bhi gayien.

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

line 4 par aap ny kalam kaha hy ya qalam? i think qalam hona chahiye.,

last line ka pehla harf saqoon k bajay sukon huga..........thanks.

noon

neend ki guod men,khuwabon k haseen aanchal men

suay jazbaat ko wo phir say jaganay aay..................!

,,ye,,

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye Bhi Aadaab Hamaray Hain Tumhain Kia Maloom
Hum Tumhain Jeet Ke Haray Hain Tumhain Kia Maloom

'Meem'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

men huosh men tha tu phir uss py margaya kesy?


ye zeher meray laho men otar gaya kaesay.........?


ye

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh Kis Nay Mujhay Mast Nazroo'n Say Daykha
Lagay Khud Bakhud Hee Qadam Larrkharranay
Vo Daman Ho Un Ka keh Sun'saan Sehraa
Bas Hum Tou Aakhir Hain Aansoo Bahaanay

yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye saneha nahin tu phir kiya hy dostu..?

har aadmi hy, zaat men apni bata huaa

alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aadatan Tum Nay Kar Di'ay Waaday
Aadatan Hum Nay Aitbaar Kiya
Tayree Rahoo'n Main Baarhaa Ruk Kar
Hum Nay Apna Hee Intizaar Kiyaa

alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

اُس اِک خور شید رُو کے نور کے فیضا ں سے ہم دم
شبِ تیرہ مری رشکِ سحر ہو وے تو کیا ہو وے

یہ بیتابی، یہ بے خوابی، یہ بے چینی، کہ ہے مجھ پر
اسی حالت میں دلبر کا گزر ہو وے تو کیا ہو وے

"ے"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh madarrsa, yeh jawaan yeh sarwar-o-raa'nayii
inhii k damm se haii may-khana-e-farang aabaad
na falsafi se na mulla se haii gharrrz mujhh ko...
yeh dil ki mout! woh andaisha-o-nazar ka fasaad

Daal

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Dil-e-Veeran Hai, Teri Yaad Hai, Tanhai Hai
Zindagi Dard Ki Baanho'n Main Simat Aai Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yadon ki goonj dasht-e-muhabbat mein ab b hai
Yehh dill gaye dinon kii rafaaqat mein ab bhi haii

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye Dil ye Nazuk Dil Mera Kion Bujh Gaya Awargi
Iss Dasht Main Ek Sheher Tha Wo Kia Hua Awargi

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yoon hiii chaand ko takkte huvayy..
mujhe beete zamane phir yaad aaye
aankhon se ashk rawaan huvayy..
jab zakhm purane phirr yaad aaye

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye Saaniha Bhi Muhabbat Main Baar'ha Guzra
Ke Uss Ne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aai

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yehi raahain mairi manzil ki taraff jaati hain..
apne hathoon ki lakirain mairi qismat ker de

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ya Shab Ki Saltanat Se Din Ka Safeer Aaya
Ghurbat Main Aakay Chamka, Gumnaam Tha Watan Main

'Noon'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Nazar Fraeb e Qazaa Khaa Ga'ee Tou Kiya Hoga
Hayaat Maut Say Takraa Ga'ee Tou Kiya Hoga
Gham e Hayat Say Bayshak Hay Khudkushi Aasaan
Magar Jo Maut Bhi Sharmaa Ga'ee Tou Kiya Hoga

alif