Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

**havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Khemein ukharane vaale hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

**
Nafs ko aanch par umr-bhar rakhna
barra mohaal hey hasti ko motabar rakhna**

Rey aur Alif

Re: Bait Bazi - May

Ussay Apnay farda ki fikr thi wo jo mera waqaf-e-haal tha
Wohi uss ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha

Mara Dard Kasay Wo Janta Mari Bat Kasay Wo Manta
Wo To Hud Fana K Sfar Pa Tha Usay Rokna Bi Mahal Tha

Wo Jo Us K Samnay A Gaya Wohi Roshni May Naha Gaya
Ajab Us Ka Habat-E-Husan Tha Ajab Us Ka Rang-E-Jamal Tha

Kahan Jao Gay Mja Chor Kar Ma Ya Poch Poch K Thak Gaya
Wo Jawab Muj Ko Na Day Saka Wo To Hud Sarapa Sawal Tha

Wo Mila To Sadion K Bad Bi Maray Lab Pa Koi Gila Na Tha
Usay Meri Chup Nay Rula Dia Jisay Guftgu May Kamal Tha

Maray Sath Lag K Wo Ro Dia Mujay Faqt Itna Wo Kah Saka
isay Janta Tha Ma Zindagi Wo Mara Wahm-O-KHayal Tha

Re: Bait Bazi - May

oro.n ka hath thamo onhe raaSta dikhao
mi bhul jaon apna hi ghar tumko es se kia

KAAF/ALIF

Re: Bait Bazi - May

Abr-e-gureiz paa ko barasne se kya gharaz
seepi meiN ban na paeiN gohar tum ko is se kya!

Kaaf aur Alif

Re: Bait Bazi - May

**kuch tu hi meray dard ka mafhoom samajh lay
hanstaa huwa chahra to zamanay k liye hai..

'he' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

**yah baais-e-naumiidi-e-arbaab-e-havas hai
Gaalib ko buraa kahate ho achchhaa nahin karate

kaaf/ye
**

Re: Bait Bazi - May

kabhi yak-bayak tawajjo, kabhi daf'atan taghaaful
mujhay aazma raha hai, koi rukh badal badal k..

'kaaf' ye'

Re: Bait Bazi - May

Yaar to yaar haiN, aghyaar bhi ab mehfil maiN
MaiN tera Zikr na cheroN to bura mantay haiN

Noon

Re: Bait Bazi - May

**nai tarah say dil ne nibhaney ki thaani hai
wagarna uss se mohabbat bohat purani hai
Khuda woh din na laye k main kisi se sunooN
K tu ney bhi gham-e-duniya se haar mani hai..

'he' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

Yeh kahaN ki Dosti hai banay hain dost NaaseH
Koi chara saaz hota koi ghum gusaar hota...