Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

**ab vo garmii kahaan kho gaii
na vo andaaz hai
na vo aavaaz hai
ab vo narmii kahaan kho gaii
ye bataa de mujhe zindagii

zey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

yah mein bhi kia hoon ussay bhool kar ussi ka raha
kah jiss kay sath nah tha humsafar uss ussi ka raha

Re: Bait Bazi - May

*Ek shaks tha kay sung samaghta raha mujhay
Lekin maiN aayeena hoon, kisi aur kay liyee
*

Re: Bait Bazi - May

Ya chiragh-e-kam nafs ko subaH tak jalna sikha!
Ya phr aisi shaam de jis ki sehar koi na ho.....

Wao

Re: Bait Bazi - May

**voh paas baithe to aatii hai dilrubaa Khushbuu

voh apane honthon pe khilate gulaab rakhate hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

Her mour pe mil jatay haiN hamdard hazaroN
Shahyed Teri Basti main adakaar buhat haiN

hey/noon

Re: Bait Bazi - May

**na huye terii Khaak-e-paa hum ne
Khaak mein aap ko milaa dekhaa

ab na diije "Zafar" kisii ko dil
ki jise dekhaa bevafaa dekhaa

daal/alif
**

Re: Bait Bazi - May

Dunya ke ghum he apnay liey kam na they ke aur
Dil ne laga lia hai yeh taza wabaal bhi !!!!!

Yeh

Re: Bait Bazi - May

**ye inaayaten Gazab kii ye balaa kii meharabaanii
merii Khairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zubaanii

zey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

**Ye boond boond si barish kisi ki yaadoN ki
meray yaqeeN ka kacha makaaN gira de gi

'gaaf' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

Toh cement say banwana tha na :D

Re: Bait Bazi - May

**garmii-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hain
ham charaagon kii tarah shaam se jal jaate hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

Dedicated to our Corrupt Govt.

NojawaN lashoN maiN ghir kar reh gai hai zindgi
Zulm ki wo shub mili jis ki sehar koi na ho
Jal gay haiN baam-o-dar aur mutmaen hai pasbaN
Ghar ki barbadi se itna bekhabar koi na ho.

Wao

Re: Bait Bazi - May

wafa ka khawab mohabat ka aasra le ja
agar chala hai to jo kuch mujy diya le ja
muqaam-e-sood-o-ziyaaN aa gaya hai phir jana
ye zakham mere sahi, teer to utha le ja

Laam/Alif

Re: Bait Bazi - May

on he raston pe jin pe ham dono gamzan they
mujy rok rok puch tera hamsafar kahan hi

hey/yey

Re: Bait Bazi - May

Hum he aaghaz-e- muhabbat main they anjaan buhat
Warna niklay they tere wasal ke unwaan buhat
aaena khana-e-hairat hai ke aasaib hai wo
Aankh main reh kar bhi karta hai pareshan buhat

Tey

Re: Bait Bazi - May

tum nay to keh dia k muhabbat nahi mili
hum ko to ye bhi kehnay ki mohlat nahi mili

Re: Bait Bazi - May

Ya masehai ussay bhool gai hai Mohsin
Ya phr aisa hai mera zakham he gehra ho ga

alif

Re: Bait Bazi - May

**aag puurii kahaan bujhii hai abhii
diidaa-e-tar mein tishnagii hai abhii

alif/ye
**

Re: Bait Bazi - May

*Apni aankhoN se ibtida kar do
hum ko likhna hey aek afsaana
*