Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
har waqt ka hansna tujhay barbaaad na karday
tanhayi k lamhon main kabhi ro bhi lya kar
kaaf,ray
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
har waqt ka hansna tujhay barbaaad na karday
tanhayi k lamhon main kabhi ro bhi lya kar
kaaf,ray
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Next: "Ray / Ye"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
rastay me na baitho k hawa tung karaygi
bichray huay logo ki sada tung karaygi
mat toot k chaho usay aghaz e safar main
bichra ga to ek ek ada tung karaygi
kaaf,yay
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Yeh zidd hai hamari ke ussay cheen lain sab say
Hum aur zamaanay se taqaaza nahe kartay
Hum gosha-e-tanhai mein ro letay hain aksar
Hum shehar ki galeyoon mein tamasha nahe kartay ...
*
Next: *"Kaaf / Ye"**
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
kabhi yon bhi aa meri ankh main k meri nazar ko khabr na ho
mujhay aik raat nawaz day magar uss k baad sehar na ho
wo bara reheem o kareem hai mujhay ye sift bhi ada karay
tujhay bholnay ki dua karon to meri dua main asar na ho
hay,wow
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Woh jo badla tau ru-ba-ru hum bhi badal gaye
Wafa ki hai us se bandagi tau nahe
Zindagi bina us ke bhi kat hi jayegi
Hasrat-e-zindagi hai woh shart-e-zindagi tau nahe ...
Next: "Noon / Ye"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
yeh tumhari kaj adayian koi aur seh k dikha to day
yeh jo mujh me tum me nibah hai mere hoslay ka kamal hai
hay,yey
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Yaad kar ke mujhe nam hogaeen hongi palkain
Aankh mein par gaya kuch yeh keh kar taala hoga ...
Next: "Hay / Alif"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
ankhon say meri iss lye lali nahi jati
yadon say koi raat bhi khali nahi jati
jeem,yey
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Jo rukay tau koh-e-giraan thay hum jo chale tau jaan se guzar gaye
Raah-e-gaar hum ne qadam qadam tujhe yaadgaar bana diya ...
Next: "Daal / Alif"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
dayar e ghair me kaisay tujhay sada daitay
tu mil bhi jata to shayad tujhay bhula daitay
sama'aton ko taa umer main kosta wasi
wo kuch na kehtay magar hont to hila daitay
daal,yay
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Dukh zindagi ek sare mere naam kar gaya
Khud hi larte larte woh shaks mar gaya ...
Next: "Gaaf / Alif"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
ussay yeh zid k mohabbat ki bheek main mango
mujhay yeh zid k taqaaza mera usool nahi
noon,yey
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Wabasta meri yaad se kuch talkheyaan bhi theen
Acha kiya jo tum ne faramosh kar diya ...
Next: "Daal / Alif"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
**aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aaye kaun
"kaaf" or "noon"
**
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
DostooN maiN khuloos mut dhondho
Warna tum dostooN ko kho do gay..
Gaaf or Ye
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
My bad Ehsan Bhai... lemme post one with kaaf or noon :)
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Kash unko bhee ho maloom adam
Woh hamaiN zindagi say Piyaray HaiN
hay or noon
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
Nahe ay humdamo chalta yeh dam aahista aahista
Rawaan hai kaarwaan soo-e-adam aahista aahista
Nahe rehne ka dil mein baaqi khoon ka ek bhi qatra
Baha degi zafar sab chashm-e-nam aahista aahista ...
Next: "Alif / Hay"
Re: Bait Bazi - March | NEW RULE
*Aaj tu wo bhee kuch khamosh sa thaa
MaiN ne bhee uss say koi bat na kee
*
Next: Kaaf / Ye