yeh kis muQam pe tanhaai sonpetay ho mujhay
keh ab tou tark-e-tamana ka bhi hosala nahiN
Next: Noon*
yeh kis muQam pe tanhaai sonpetay ho mujhay
keh ab tou tark-e-tamana ka bhi hosala nahiN
Next: Noon*
"ye"
yeh ghalat kaha kisii nay humain GuL kii Arzoo hay
jo kabhii chubhaa tha diL meiN wuhi khaar dhuhndate haiN
Next: Noon*
yuuN sajaa chaaNd keh jhalka terey andaaZ ka rang
yuuN faza mahki keh badla merey hamaraZ ka rang
Next: gaaf*
"ye"
ye KhizaaN ki Zard si Shaam meiN, jo Udaas per ke paas hay
ye tumhaaray Ghar ki bahaar hay, ise AansuoN sey haraa karo
Next: wao*
"ye"
ye tabiyat hay to Khud azaar ban jaaiN gey hum
chara-gar roaiN gey aur Gham-Khwaar ban jaaiN gey hum
is Qadar asaaN na hogi har kisi sey dostii
ashnaai meiN teraa mayaar ban jaaiN gey hum
Next Meem*
"wo"
Wuh firaQ aur wuh wisal kahaaN
wuh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN
Fursat-e-kaarobaar-e-shauQ kisey
zauQ-e-nazara-e-jamaal kahaaN
Next: Noon*
"wo"
wuh barra Raheem-o kareem hay, mujhay yeh sift bhii ataa karey
tujhay bhoolne ki Dua karoon to Dua meiN meri asar na ho
Next wao*
"ye"
yeh Mah-e-taabaaN say ja kar kahdo,keh apni kirno ko giN kay rakhe
meiN apnay sehra kay zarre zarre,ko khud chamkna sikha raha huuN
Next: Noon*
Bohat khoob
**
Na wo aaNkh hi teri aaNkh thi na wo khaab hi tera khaab tha
dil-e-muntazir to ye kis leeye tera jaagna, usey bhool ja
“alif”
Shukriya jii:~)
ik Hijr jo hum ko Laahak hay ta dair usey dohraaiN kya
wuh ZahaR jo diL meiN utaar Liyaa phir uskey naaZ uThaaaiN kya
Next: Alif*
"rey"
Rahiye ab aesi jagah chaL kar jahaaN koi na ho
hum-suKhaN koi na ho aur hum-ZabaaN koi na ho
paRiye gar beemaaR tou koi na ho timaar-daar
aur agar mar jaaiye tou nauha-KhwaaN koi na ho
Next: wao*
"rey"