Yehi pehchan hai darti apni
damm kabi is ka bi barna sikho
zindagi phool ki batlati hai
zindah rahna hai to marna sikho
..Fahira batool.. ![]()
Yehi pehchan hai darti apni
damm kabi is ka bi barna sikho
zindagi phool ki batlati hai
zindah rahna hai to marna sikho
..Fahira batool.. ![]()
wuh buton ney Daalay hain waswase ke dilon se Khauf-e-Khuda geya
wuh parri hain roz qayaamatain ke Khayaal-e-roz-e-jaza geya
jo nafas tha Khaar-e-GuL bana jo uTha to haath Qalam hue
wuh nishaat-e-aah-sahar gai wuh wiqaar-e-dast-e-dua geya
Next Alif*
"alif"
AfsoS diL ka haaL koi poochta nahin
ye keh rahey haiN sub teri sooraT badaL gai
Next:- Ye*
"noon"
"ye"
~Ya khuda loag banaaye thay agar pathar kay
Meray ehsaas ko sheesha na banaya hota~ :)
**ab bhii KhizaaN kaa Raaj hay lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman me Ghazal-KhvaaN hue to hain
in me Lahu jaLa ho hamara ke jaan-o-diL
mahfiL me kuch chiraaG farozaaN hue to hain**
Next :- Noon*
nahie mumkin kei mei zindah rahun tum sei juda ho kar
rahun ga terei qadamo mei humesha khak-e paa ho kar
next(R)
"meem"
mujh say ab meri mohabbat kay fasaanay na puuchho
mujhako kahane do ke main ne unhaiN chaahaa hii nahin
aur wuh mast nigaahaiN jo mujhey bhuul gain
main ne un mast nigaahoN ko saraahaa hi nahin
Next Noon*
"ye"
Ye jo raat din ka hay khail sa usay dekh us pe yaQeen na kar
koi aks bhi nahin mustakil sar-e-aaina ussay bhool ja
"ye"
yaad kya dast-e-HunaR hai keh sanwarta geya maiN
ussko socha tou ussay yaad hi karta geya maiN
is ko tahzib-e-junun kahiye ki mujh se pahley
jaese bikhrey hain sabhi log bikharta geya main
Next: Noon*
"ye"
Yaadain chaleeN khayaL chaLa ashk-e-tar chaLey
lekar payaam-e-shauq kai naamabar chaley
dil ko sanbhalatey rahey har haadsay pe hum
ab kya karen keh khud terey gesu bikhar chaley
Next :- Ye*
**Mil ker jo na bichray woh shanasa nehi milta
Chehray to bohet hain, tera chehra nehi milta
main teri aadawat kay hunar kis ko batayon
Mujko to koi shakas bhi tujsa nehi milta
ooopss main ne ghelt jaga pay posting ker di ..
**Yeh sangreezay aadawaton kay woh aabgeenay sakhawaton kay
Dil-e-musafir qabool kar lay, mila hai jo kuch jehan jehan se
bicharnay walay bichar chala tha to nisbatein bhi ganwa kay jata
teray liyeh shahar bhar main ab bhi zakham khayon zaban zaban se