Bait Bazi - LXIII (merged)

yad hein ab bhie apnei khawaab Tumhein
Mugh sei mil kar udas bhii ho keya

boht achei choice gul sister and amal bhaie

[QUOTE]
Originally posted by *Masoom Muskaan: *

boht achei choice gul sister and amal bhaie

[/QUOTE]

Thanx Muskan :)

**
Us ney rukh sey hataa ke baaloN ko
raasta dey dia ujaaloN ko

"wao"

wuh naye giley wuh shikayataiN wuh mazey mazey ki hikayataiN
wuh har ek baat pe ruThana tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

koii baat aesii agar huii jo tumhaarey jii ko buri lagii
to bayaaN sey pahaley hi bhulana tumhaiN yaad ho ke na yaad ho

Next: wao*

Masoom ladki :) hugs*
und Vielen Dank ;-)

**
Wo farishtey aap hi dhooNdhye kahaaNiyoN ki kitaab meiN
jo bura kaheiN na bura suneiN, koi shakhs un sey khafaa na ho

"wao"

**Woh dukh keh meri rag-e-jaaN ko chheerhta rehta he her pal
chhupaa sakooN us ko maiN apney kajal meiN, mery liye duaa kartey rehna

Zeest kat gayi magar lagta he yeh do din nah kateeN gey
mery dost mery maseeha! aaj shab meiN our kal, mery liye duaa kartey rehna**

**
Anaa-parast hey itna ke har tadbeer sey pehley
wo utth ke band meri har kitaab kar dey ga

"alif"

Ek Umr-e-Namu ki Khawahish meiN mosam kay jabar sahay tou khula
Har Khushbuu Aam nahiN hotii, har PhooL GulaaB nahiN hotaa
Har Lamha Khaer-o-sharr meiN kahiN ik Saa’at aesii hay jis meiN
Har baat Gunah nahiN hotii,sub Kaar-e-sawaab nahiN hotaa

Next: alif*

jee nahi, ye filmi shairi nahi hai… :mad:

ohhhh itna Ghussa sweet sis :wink:

Am sorry Vivacious if it hurt you :(

**
Aaj phir bujh gaey jal jal ke umeedoN ke chiraagh
aaj phir taaroN bhari raat ney dam torr dia

"alif"

ab aur kya kisi sey marasim barhaaiN hum
Itna hii buhat hay tujhay bhuuL JaaiN hum
Sehraa-e-Zindagi meiN koi doosraa na thaa
Suntay Rahay haiN app hi apnii SadaaiN hum

Next: Meem*

Bitte Bitte gul :slight_smile: :kiss:

meira dard nagma e be-sada
meiri zat zarra e be-nishaan
meiry dard ko jo zubaan mily
mughiy apna naam o nishaan miliy

**
Ye terey khat teri khushbu, terey khaab-o-khayaal
mataa-e-jaaN heiN terey qaol-o-qasam ki tarahaN
guzashta saal inheiN meiN ney gin key rakha tha
kisi ghareeb ki jorri hui raqam ki tarahaN

"noon"

^

Nah uljha meiN kabhi dam-e-fareeb-e-khusn-e-aalam meiN
mujee her gaam per teri muhabbat sey hayaa aayi

**
yuN to sayed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho bataao to musalmaan bhi ho!

"wao"

wuh diL ki baaZi jahaN mujh sey jeetNa chahey
maiN maan luuN gi wahin maat ussey kah deNa

Next: alif*

Ilfaz-o-maani meiN tufawat naheeN lekin
mullaN ki aazaaN our mujahid ki aazaaN our

RoshaN kahiN bahaaR key imkaaN huwe tou haiN
GuLshaN meiN chaak chand garebaaN huwe tou haiN

Thaharii huwii hay shab kii siyaahii wahiN magar
kuch kuch Sahar key rang par afshaaN huwe tou haiN

Next: Noon*

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii

**
Ye kinaaroN se kheilney waaley
doob jaaeiN to kya tamaasha ho

"wao"