Bait Bazi - July 2012

Re: Bait Bazi - July 2012

yeh khuda ki dain ajeeb hai k, isi ka naam naseeb hai
jisay tuney chaha wo mil gya jisay meina chaha mila nahi.....

Re: Bait Bazi - July 2012

**yeh soch kar keh na ho taaaq main kushi koii
ghmon kii Ot main khud ko chupaa liya main nay

kabhii na khatam kiyaa main nay roshnii kaa muhaaz
agar chraagh bujhaa, dil jalaa liyaa main nay **

Re: Bait Bazi - July 2012

Na bandhe tashnagi e zuaq ke mazmoon Ghalib!
Garche dil khol ke darya ko bhi saahil bandha !!

Re: Bait Bazi - July 2012

Aye Khuda log banaye thy pathar ke agar,
Mery ehsas ko sheeshay sa na banaya hota..

Re: Bait Bazi - July 2012

Aaj To Mehfil-E-Yaran Pay Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Kay Bikhroo Gay To Yaad Aaon Ga

Re: Bait Bazi - July 2012

Go raasta hai woh, jo kaheeN bhi na jaayey ga
Sad shukr mairey saath, ab ek hamsafar to hai

Welcome to Poetry Forum Kinzz

Re: Bait Bazi - July 2012

Thanks..but u should have said welcome back coz I used to visit poetry section regularly and now I'm back after a long time. :p

Hadd chahiye saza mein aqoobat ke waastey
aakhir ko gunehgaar hoo'n , kafir nahi hoo'n main

Re: Bait Bazi - July 2012

Thats nice. Hope to see your sharings on regular basis :)

Mohsin khushi ki bheek main kis kis se mangta
Acha hua ke tabiyat gham se behal gai

(Gaaf / Ye)

Re: Bait Bazi - July 2012

Ghabra ke dhooNDhtee hai nazar koo ba koo jinheiN
Woh mairey doast wo meray pyaarey kahaaN gayey

I think it's gaaf n yey.

Re: Bait Bazi - July 2012

go chal para hon dil se magar chahta hon yeh
uth k mujhey woh rok le or raasta na de

(Daal / Ye)

Re: Bait Bazi - July 2012

ye aur baat hai gul ki tarah mehaktey hain
warna hum bhi kantoo sa mizaj rakhtey hain

Re: Bait Bazi - July 2012

Nafs nafs mera girvi hai uski chahat main
so ab ye rooh bhi neelam karne wala hoon

Re: Bait Bazi - July 2012

Huwa hai woh agar munsif to Amjad ahtiyatan ham
Saza tajweez kartay hain kisi anjam se pehlay

Re: Bait Bazi - July 2012

pehloo main reh kay dil ney diya hai baRa faraib
rakha hai us ki yaad ko bhulaney kay baad bhi [RIGHT]

[/RIGHT]

Re: Bait Bazi - July 2012

Ye Dil, Ye Ujrree Hoi Chasham-e-Num,Ye Tanhai
Humaray Pass To Jo Bhi Hai Maal Dard Ka Hai..!!

Re: Bait Bazi - July 2012

[RIGHT] [/RIGHT]
Yeh Mashghala hai kisi ka, na jane kia chahay
Na faaslon ko mitae, na faisla chahay

Re: Bait Bazi - July 2012

Yun to har shaam umeedon mein guzar jati thi
Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona ayaa ..!!

Re: Bait Bazi - July 2012

Uljha hai Paaoo'n Yaar k Zulf-e-daraaz mein

Lo Aap apney Daam mein Sayyaad Aa Gaya !

Re: Bait Bazi - July 2012

Aj tak jo hum tum sy kah na saky..... aj wazahat sy iqrar krty hain... jisy tum roz dekhty ho ae'ny mein... us shakhs sy hum be-panah pyar krty hyn

Re: Bait Bazi - July 2012

Aksar youn hi betthey betthey gum ho jata hoon
Ab main main nahi rehta Tum ho jata hoon.