Bait Bazi - July 2012

Re: Bait Bazi - July 2012

** wo teray naseeb ki baarishain kisi aur chat py baras gayen
dil e bekhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja....
**

Re: Bait Bazi - July 2012

***Ankhain hain kay khali nahi rahti hain lahoo say*
**Aor zakham-e-judee hai kay bhar bhi nahi jata

jeem/alif****

Re: Bait Bazi - July 2012

  • jana para raqeeb k dar par hazaar baar aye kaash janta na teri rehguzar ko mein... *

Re: Bait Bazi - July 2012

**mujh ko ye etaraaf duaaon mein hai asar
jaaye na arsh par jo duaayen to kyaa karen

kaaf/noon**

Re: Bait Bazi - July 2012

Kia karaiN haal hi kuch aysa tah
tum pe martay nahi tu mar'jatay

Tay

Re: Bait Bazi - July 2012

****too hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh
too kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad

bey/daal****
**
**

Re: Bait Bazi - July 2012

** dhoond ujrey huwey logon mein wafa k motii
ye khzaaney tujhy mumkin hai kharabon mein milain....
**

Re: Bait Bazi - July 2012

**Maana Ke Tu Mere Hatoon Ki Lakhiroon Mein Nahin Hai,
Phir Bhi Tere Naam Se Badnaam Hone Ko Dil Chahne Laga,

laam/alif
**

Re: Bait Bazi - July 2012

**Aiik qabeela chor diya aur ik duniya abaad rakhi
Main ne pehla shair likha aur shajray ki bunyaad rakhi

Tu ne kaha tha ishq main tanha kaisay ji sakta hai koi
Tujh ko bhool gaye aur teri baat hamesha yaad rakhi.♥**

Re: Bait Bazi - July 2012

Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..

Re: Bait Bazi - July 2012

**Na jane kyun magar dekho mera dil yah chahta hai
Wafa ko aag lag jay mohbbat bhaar mein jaay

jeem/ye**

Re: Bait Bazi - July 2012

Yaad aata hai shab-o-roz koi,
Humse rootha hai be-sabab koi..

Re: Bait Bazi - July 2012

**yuun us ke bichhar jaane pe aansuu na bahaao
manzar ko taras jaayengii bhiigii huii aankhen

alif/noon**

Re: Bait Bazi - July 2012

*aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah *

Re: Bait Bazi - July 2012

Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,
Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye!!

Re: Bait Bazi - July 2012

***ye rumz-e-ishq jo dilbar kay aasitan say mila.*
**humen yun raz-e-sukhan huft aasman say mila

meem/alif


Re: Bait Bazi - July 2012

Meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila to phir
Hath dua se yun gira k bhool betha sawal bhi

Re: Bait Bazi - July 2012

Ye Saaniha Bhi Muhabbat Main Baar'ha Guzara
Ke Uss Ne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aaii

Re: Bait Bazi - July 2012

Yad rakhana hi muhabbat nahin hai sub kuch,
Bhol jana bhi bari baat hoa karti hai.

Re: Bait Bazi - July 2012

*Ye qana'at hay, Ita'at hay k Chahat hay Faraz
Hum to raazi hain wo jis haal main jaisa rakhay *