Bait Bazi - July 2012

Re: Bait Bazi - July 2012

^ hehehehe

yaa i can do parody :D

Re: Bait Bazi - July 2012

tou do na aisa kuch :D

Re: Bait Bazi - July 2012

:cadet:

Re: Bait Bazi - July 2012

yi dukh nahi k andheron se sulah ki ham ne
malal yi he key ab sobho ki talab nhi nahi

noon/yey

Re: Bait Bazi - July 2012

Youn zindagi kia rah main
Takra gaya koi
Youuuuuunn Zindagi ki rah main
eik roshni andharoon main, birkhra gaya koi
wo hadsaa...wo pehli mulaqaat kia kahoon
Kitni aajab thee, sorat-e-haalat kia kaahooon....

Re: Bait Bazi - July 2012

kamal shakhs tha jisne mujhy tabah kia

khilaf us ke yi dil ho saka hey ab bhi nahi

noon/yey

Re: Bait Bazi - July 2012

Nahi sajday kiye hum nay kabhi ghairon ki chokat pe...

Humain jitni zaroorat ho khuda say mang laitay hain....!!!

Re: Bait Bazi - July 2012


bahot saHeeH...yehii masnoon tareeqa hai...aise hii maangnaa chaahiye! :) kitnaa maangaa? ;) :p

vaise, kahaN thiiN? do teen din se nazar nahiiN aayiiN...sab Kahiriyat hai na?
**
naavak andaaz jidhar deeda e jaanaaN hoNge
neem bismil kaii hoNge, kaii be_jaan hoNge! **:)

Re: Bait Bazi - July 2012

**Ye jo ham hijr mein deewaar-o-dar ko dekhte hain
kabhi sabaa ko kabhi naamaabar ko dekhte hain

Wo aaye ghar mein hamaare Khudaa ki khudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain**...

Re: Bait Bazi - July 2012


are visitor ko na dekheN Ghalib saab...kuchh chai paanii kaa bhii intizaam kareN na! :D
*

haiN aur bhii dunyaa meN suKhanwar bahot achchhe
kahte haiN k "Ghalib" kaa hai andaaz-e-biyaaN auuurrrrr!!!!!!! **:)

Re: Bait Bazi - July 2012

raat yun dil mein teri khoyi hui yaad aayi
jaisay veeraane mein chupke sy bahar aa jaye
jaisay sehraaon mein haulay sy chale baad e naseem
jaisay bemaar ko be wajah qarar aa jaye.....

Re: Bait Bazi - July 2012

Ab jitna mangti huun Voh mera Allah janta hai ...aur jo mangti huun woh bhi.

As'salaam u Alaiykum ,

Mein theek ..bus kuch zindagi ki masruufiyat he enjoy nahin kernay deyteen verna 'aapki yaad aati rahi raat bhar ...chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar' :D

Re: Bait Bazi - July 2012

waah, bahooot Khoob…meraa yeh sab se ziyaada pasandeeda naGhma hai…Raf’ii aur Asha kii aawaazoN kaa jaadoo vo bhii minimal music ke saath…suniye aur dekhiye aap bhii:

she’r pesh-e-Khidmat hai:**

ai baad-e-sabaa, unko bhii do chaar thapeRe halke se
jo door khaRe saaHil se toofaaN kaa nazaarah karte haiN! **:slight_smile:

Re: Bait Bazi - July 2012

:wsalam: aaaaawwwww..chaleN, ab to kuchh ‘aish-e-baa-faraaGhat ke maze’ bhii looT leN! :slight_smile:

aaaaaaaawwwwwwww…beautiful she’r! aur maiN…
**
…raat bhar deeda e nam-naak meN lahraate rahe!!! **:smiley:

Re: Bait Bazi - July 2012

naaz hai taqat-e-gaftaar pe insaano ko
bat karney ka saleeqa nahee nadano ko

Re: Bait Bazi - July 2012

thank you so much…

Re: Bait Bazi - July 2012

wo waqt na aaye k dil e zaar b sochay
is shehar mein tanhaa koii hum saa hai k tum ho...!!

Re: Bait Bazi - July 2012

vo kia gaya k rafaqat ke saare lutf gaey
me kis se ruth sakon gi,kisey manaoun gi

gaaf/yey

Re: Bait Bazi - July 2012

****Ye apani tark-e-muhabbat bhi kya muhabbat hai **
***Jinhen bhulaate hain vo yaad aaye jaate hain

hey/noon*****

Re: Bait Bazi - July 2012

Her taraf us ajnabi ki guftgu hai aj kal.
Aabro us ki hamari aabro hai aj kal.
Baad mudat k usy deakha tu kuch aisy laga.
jaisy ik tasveer mery robaro hai aj kal.