Bait Bazi - July 2012

Re: Bait Bazi - July 2012

**Ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr say,
Kahin naam tera badnaam na ho jaye,

Mangta hoon dua jab tu yaad aata hay,
K judai meray pyar ka anjaam na ho jaye**

Re: Bait Bazi - July 2012

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
…Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Re: Bait Bazi - July 2012

yaad rakho tou dil ke paas hain ham
bhool jaoo tou faasle hain bohat

Re: Bait Bazi - July 2012

**Baat to hai aam si, per itni aam bhi nahin
Sub ko khushiyan mil jati hain , mera hsa kho jata hai

hey/ye

**

Re: Bait Bazi - July 2012

Ye soch lia hai k ab Us ko awaaz nahin deni Wasi
Ab k main bhi dekhon Wo mera talbgaar hay kitna

Re: Bait Bazi - July 2012

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaana
yaad kya tujh ko dilayi tera paimaan jaana

Re: Bait Bazi - July 2012

**Ab key bichrein tu shahid kabi khowaboon mein melein
jis tarha sokhey hoay phol kitaboon mein melein

meem/noon **

Re: Bait Bazi - July 2012

Muhabbat toot bhi jaaye,
muhabbat rooth bhi jaaye,
muhabbat mit nahi sakti...
Dilo'n ke teher jaaney se,
judaai ke zamaaney se,
muhabbat chup to sakti hai,
muhabbat mar nahi saktii!!!

Re: Bait Bazi - July 2012

***Yaad us ki bhi hawa hee say bandhi hai shayad *
**aik jhoola sa humain jis ne jhula rakha hai

hey/ye****

Re: Bait Bazi - July 2012

Ye Sab Rastey k Saathi They, Inhein aakhir bicharna tha
Chalo Ab Ghar chalein saghar, bohat Aawargi kar li

Re: Bait Bazi - July 2012

Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey
Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga...

Re: Bait Bazi - July 2012

Ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko
Zakhm khultey hain azziyat nahi hoti mujhko

Re: Bait Bazi - July 2012

us ki khamoshi se mujhe dar lagta hy..
dor na ho jaye aisalagta hy..
dunia se osay cheen lene ka hosla hy mujh me
lekin wo saath na de ga aisa q lagta hy.

Re: Bait Bazi - July 2012

aik naqsh bhi idher say udher na honay paaay

main jaisa tumhain mila tha mujy waisay hi juda karo

Re: Bait Bazi - July 2012

Tuj saa Lafzoon ka Nahi Rooh Ka rista ha Mera

Tu meri Saansoo ma Tahleel ha Khushoo ki Tarhan

Re: Bait Bazi - July 2012

Thak Gaya Hun Main , Tujhy Yaad Karty Karty . . . . .

Ab Tujhy Main Yaad Aana Chahta Hu'n . . .!

Re: Bait Bazi - July 2012

Woo Baa-Waffa Na thee Yoheen Badnaam Ho gaee

Hazarooon Chahnaee Wallay Thay , Kis Kis Sa wafa Kartii


Dil Ki awaz : by Meera G :P :cb:

Re: Bait Bazi - July 2012

Kesi ko Meri yaad aaiee ek arsa huwa
koi hay hairaan to koi tarsa huwa

is terha khamosh hain ye dil ye ankhien meri
jaise khamosh ho koi badal barsa huwa

Re: Bait Bazi - July 2012

Kisi ko meri yaad aa rahi ha abhi abhi

Inti zoar sa jo cheennkh ayee ha abhi abhi

koi aous ka pata kara ka bata day mujhey

ma aous ko phone to lagaoon abhi ka abhi

Re: Bait Bazi - July 2012

you do more funny poetry aise :hehe: